nigah wale na kuchh panw sar ko dekhte hain
nigāh vaale na kuchh paañv sar ko dekhte haiñ
vo tarz-e-dīda-e-īñ nazar ko dekhte haiñ
kisī ke ham nahīñ aib-o-hunar ko dekhte haiñ
bashar ko dekhte haiñ haañ bashar ko dekhte haiñ
jasad ko phūñk hī dete haiñ sūrat-e-haizam
janāb-e-’ishq na kuchh ḳhushk-o-tar ko dekhte haiñ
jo un ke tīr-e-nigah chalte haiñ to hasrat se
kabhī to dil ko kabhī ham jagah ko dekhte haiñ
ḳhudā kā zikr jab aa jaatā hai to hairat se
ham aur vo ta.ajjub se ghar ko dekhte haiñ
jo lā-makāñ the mash.hūr vo makāñ meñ mile
ham aur vo ta.ajjub se ghar ko dekhte haiñ
ḳhudā-parast kahe koī but-parast kahe
ye 'ulvī' ham to jamāl-e-bashar ko dekhte haiñ
nigah wale na kuchh panw sar ko dekhte hain
wo tarz-e-dida-e-in nazar ko dekhte hain
kisi ke hum nahin aib-o-hunar ko dekhte hain
bashar ko dekhte hain han bashar ko dekhte hain
jasad ko phunk hi dete hain surat-e-haizam
janab-e-’ishq na kuchh KHushk-o-tar ko dekhte hain
jo un ke tir-e-nigah chalte hain to hasrat se
kabhi to dil ko kabhi hum jagah ko dekhte hain
KHuda ka zikr jab aa jata hai to hairat se
hum aur wo tajjub se ghar ko dekhte hain
jo la-makan the mashhur wo makan mein mile
hum aur wo tajjub se ghar ko dekhte hain
KHuda-parast kahe koi but-parast kahe
ye 'ulwi' hum to jamal-e-bashar ko dekhte hain
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.