nikal gae hain KHirad ki hadon se diwane
nikal gae hain KHirad ki hadon se diwane
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
nikal ga.e haiñ ḳhirad kī hadoñ se dīvāne
ab ahl-e-hosh se kah do na aa.eñ samjhāne
bisāt-e-bazm ulaT kar kahāñ gayā saaqī
fazā ḳhamosh subū chup udaas paimāne
ye kis ke ġham ne diloñ kā qarār luuT liyā
ye kis kī yaad meñ sar phoḌte haiñ dīvāne
bharī bahār kā manzar abhī nigāh meñ thā
mirī nigāh ko kyā ho gayā ḳhudā jaane
hai kaun bar-lab-e-sāhil ki peshvā.ī ko
qadam uThā.e ba-andāz-e-mauj dariyā ne
tamām shahar meñ ik dard-āshnā na milā
basā.e isliye ahl-e-junūñ ne vīrāne
na ab vo jalva-e-yūsuf na misr kā bāzār
na ab vo husn ke tevar na ab vo dīvāne
na harf-e-haq na vo mansūr kī zabāñ na vo daar
na karbalā na vo kaTte saroñ ke nazrāne
na bāyazīd na shiblī na ab junaid koī
na ab vo soz na aaheñ na hā-o-hū-kHāne
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī sūrat bikhar gayā maazī
na silsile na vo qisse na ab vo afsāne
na qadr-dāñ na koī ham-zabāñ na insāñdost
fazā-e-shahr se behtar haiñ ab to vīrāne
badal ga.e haiñ taqāze mizāj vaqt ke saath
na vo sharāb na saaqī na ab vo mai-ḳhāne
tamām band junūñ toḌ bhī gayā lekin
anā ke jaal meñ jakḌe hue haiñ farzāne
ye inqalāb kahāñ āsmāñ ne dekhā thā
ulajh rahe haiñ ġham-e-zindagī se dīvāne
har ek apne hī sūd-o-ziyāñ kī fikr meñ hai
koī to ho jo mire dil kā dard pahchāne
tirā vujūd ġhanīmat hai phir bhī ai saaqī
ki ho ga.e haiñ phir ābād aaj mai-ḳhāne
vahī hujūm vahī raunaqeñ vahī mai-kash
vahī nasha vahī mastī vahī tarab-ḳhāne
jabīñ ko dar pe tire rakh diyā yahī kah kar
ye jaane aur tirā sañg-e-āstāñ jaane
uTheñge pī ke tirī mai-navāz āñkhoñ se
ye tai kiye hue baiThe haiñ aaj dīvāne
hai terī zaat vo ik sham-e'-anjuman-afroz
ki jis kī lau pe lapakte raheñge parvāne
koī nishāt kā sāmāñ koī tarab kī sabīl
lagī hai phir sar-e-mai-ḳhāna badliyāñ chhāne
tū boltā hai to chaltī hai nabz-e-mai-kHāna
tū dekhtā hai to karte haiñ raqs parvāne
ye mastiyāñ nahīñ jām-o-subū ke hisse meñ
terī nigāh se patte haiñ tere dīvāne
'nasīr' ashk to palkoñ pe sab ne dekh liye
guzar rahī hai jo dil par vo koī kyā jaane
nikal gae hain KHirad ki hadon se diwane
ab ahl-e-hosh se kah do na aaen samjhane
bisat-e-bazm ulaT kar kahan gaya saqi
faza KHamosh subu chup udas paimane
ye kis ke gham ne dilon ka qarar luT liya
ye kis ki yaad mein sar phoDte hain diwane
bhari bahaar ka manzar abhi nigah mein tha
meri nigah ko kya ho gaya KHuda jaane
hai kaun bar-lab-e-sahil ki peshwai ko
qadam uThae ba-andaz-e-mauj dariya ne
tamam shahar mein ek dard-ashna na mila
basae isliye ahl-e-junun ne virane
na ab wo jalwa-e-yusuf na misr ka bazar
na ab wo husn ke tewar na ab wo diwane
na harf-e-haq na wo mansur ki zaban na wo dar
na karbala na wo kaTte saron ke nazrane
na bayazid na shibli na ab junaid koi
na ab wo soz na aahen na ha-o-hu-kHane
KHayal-o-KHwab ki surat bikhar gaya mazi
na silsile na wo qisse na ab wo afsane
na qadr-dan na koi ham-zaban na insandost
faza-e-shahr se behtar hain ab to virane
badal gae hain taqaze mizaj waqt ke sath
na wo sharab na saqi na ab wo mai-KHane
tamam band junun toD bhi gaya lekin
ana ke jal mein jakDe hue hain farzane
ye inqalab kahan aasman ne dekha tha
ulajh rahe hain gham-e-zindagi se diwane
har ek apne hi sud-o-ziyan ki fikr mein hai
koi to ho jo mere dil ka dard pahchane
tera wujud ghanimat hai phir bhi ai saqi
ki ho gae hain phir aabaad aaj mai-KHane
wahi hujum wahi raunaqen wahi mai-kash
wahi nasha wahi masti wahi tarab-KHane
jabin ko dar pe tere rakh diya yahi kah kar
ye jaane aur tera sang-e-astan jaane
uThenge pi ke teri mai-nawaz aankhon se
ye tai kiye hue baiThe hain aaj diwane
hai teri zat wo ek sham-e'-anjuman-afroz
ki jis ki lau pe lapakte rahenge parwane
koi nishat ka saman koi tarab ki sabil
lagi hai phir sar-e-mai-KHana badliyan chhane
tu bolta hai to chalti hai nabz-e-mai-kHana
tu dekhta hai to karte hain raqs parwane
ye mastiyan nahin jam-o-subu ke hisse mein
teri nigah se patte hain tere diwane
'nasir' ashk to palkon pe sab ne dekh liye
guzar rahi hai jo dil par wo koi kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.