nishan is ka kisi se kab bayan ho
nishāñ is kā kisī se kab bayāñ ho
vahī paave nishāñ jo be-nishāñ ho
munazzah vo to he kaun-o-makāñ se
makāñ us ko kahāñ jo lā-makāñ ho
koī jāgah nahīñ par us se ḳhālī
zamīn ho arsh ho yā āsmāñ ho
sivā us ke nahīñ koī jahāñ meñ
talāsh us kī kaaro yaaro jahāñ ho
'turāb' ustād se ma.alūm kar lo
tarīq-e-ma.arifat gar qadr-dāñ ho
ġhanīmat hai mulāqāt aaj us kī
ḳhudā-ma.alūm phir kab ho kahāñ ho
nishan is ka kisi se kab bayan ho
wahi pawe nishan jo be-nishan ho
munazzah wo to he kaun-o-makan se
makan us ko kahan jo la-makan ho
koi jagah nahin par us se KHali
zamin ho arsh ho ya aasman ho
siwa us ke nahin koi jahan mein
talash us ki karo yaro jahan ho
'turab' ustad se malum kar lo
tariq-e-marifat gar qadr-dan ho
ghanimat hai mulaqat aaj us ki
KHuda-malum phir kab ho kahan ho
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.