us but-e-kafir ke dar pe ab to jaana hi paDa
us but-e-kāfir ke dar pe ab to jaanā hī paḌā
ho gayā hai bas ḳhafā mujh ko manānā hī paḌā
le gayā dil chhīn kar āñkheñ milāte hī miyāñ
furqat-e-dil-dār meñ aañsū bahānā hī paḌā
kyā karūñ kis se kahūñ suntā nahīñ fariyād ko
kūcha-e-hamdam meñ ab to ġhul machānā hī paḌā
pahuñchī sadā kānoñ meñ jab bāhar vo aayā māh-e-laqā
ab pa.e tā'zīm mujh ko sar jhukānā hī paḌā
kaun hai kyā kaam hai kyuuñ raat ko aayā yahāñ
sab mohalle vāloñ ko ab to jagānā hī paḌā
ġhair kī mahfil meñ jā kar karte haiñ ’aish-o-surūr
mujh ko is ġhairat se yaaro mar to jaanā hī paḌā
zindagī kā kuchh mazā mutlaq nahīñ mujh ko 'niyāz'
maut to aatī nahīñ ab zahar khānā hī paḌā
us but-e-kafir ke dar pe ab to jaana hi paDa
ho gaya hai bas KHafa mujh ko manana hi paDa
le gaya dil chhin kar aankhen milate hi miyan
furqat-e-dil-dar mein aansu bahana hi paDa
kya karun kis se kahun sunta nahin fariyaad ko
kucha-e-hamdam mein ab to ghul machana hi paDa
pahunchi sada kanon mein jab bahar wo aaya mah-e-laqa
ab pae ta'zim mujh ko sar jhukana hi paDa
kaun hai kya kaam hai kyun raat ko aaya yahan
sab mohalle walon ko ab to jagana hi paDa
ghair ki mahfil mein ja kar karte hain ’aish-o-surur
mujh ko is ghairat se yaro mar to jaana hi paDa
zindagi ka kuchh maza mutlaq nahin mujh ko 'niyaz'
maut to aati nahin ab zahar khana hi paDa
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 1)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.