Sufinama

dilbar se dil ko phansa baiThe hain

Niyaz Wazirabadi

dilbar se dil ko phansa baiThe hain

Niyaz Wazirabadi

MORE BYNiyaz Wazirabadi

    dilbar se dil ko phañsā baiThe haiñ

    nainoñ se naināñ laḌā baiThe haiñ

    chāhe mujh ko jaane na jaane vo

    magar ham to dil se fidā baiThe haiñ

    kiyā jām-e-vahdat maiñ ne talab

    to bolā miyāñ ham pilā baiThe haiñ

    na jā.ūñgā maiñ juz vasl ai sanam

    tere dar pe dhūnī ramā baiThe haiñ

    hue terī ulfat meñ badnām ham

    bahut ranj-o-ġham aap uThā baiThe haiñ

    tere nām-e-aqdas pe ai jān-e-man

    sabhī māl-o-zar ghar luTā baiThe haiñ

    ḳhatm kar 'niyāz' ab to jaldī ġhazal

    ye mazmūn-e-shīrīñ sunā baiThe haiñ

    dilbar se dil ko phansa baiThe hain

    nainon se nainan laDa baiThe hain

    chahe mujh ko jaane ya na jaane wo

    magar hum to dil se fida baiThe hain

    kiya jam-e-wahdat ka main ne talab

    to bola miyan hum pila baiThe hain

    na jaunga main juz wasl ai sanam

    tere dar pe dhuni rama baiThe hain

    hue teri ulfat mein badnam hum

    bahut ranj-o-gham aap uTha baiThe hain

    tere nam-e-aqdas pe ai jaan-e-man

    sabhi mal-o-zar ghar luTa baiThe hain

    KHatm kar 'niyaz' ab to jaldi ghazal

    ye mazmun-e-shirin suna baiThe hain

    Source :
    • Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 12)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now