dil chhin liya mera naz se tu ek aan mein aankhen mila ke sajan
dil chhin liya mera naz se tu ek aan mein aankhen mila ke sajan
Niyaz Wazirabadi
MORE BYNiyaz Wazirabadi
dil chhīn liyā mirā naaz se tū ik aan meñ āñkheñ milā ke sajan
be-dil meñ taḌaptā huuñ rotā sadā haaye āñkhoñ se aañsū bahā ke sajan
maiñ to aage hī kushta huuñ shoḳh-e-nigāh ab na kar itne jaur-o-jafā
tū ne ḳhuun kiyā ba-ḳhudā mirā haaye hāthoñ pe mehñdī lagā ke sajan
mire nāloñ meñ koī asar hī nahīñ mirā thamtā to dard-e-jigar hī nahīñ
mujhe aatā kahīñ to nazar hī nahīñ haaye zulf kā naag Dasā ke sajan
mujhe jiine kā koī mazā hī nahīñ mujhe chain to aatā zarā hī nahīñ
mire haal kā tujh ko pata hī nahīñ haaye maarā hai tū ne rulā ke sajan
ai jān-e-jahāñ tū ne dhokā kiyā is baat kā mujh ko nahīñ thā patā
haaye mujh ko sarāpā jalā hī diyā tū ne 'ishq kī aag lagā ke sajan
kal mahfil-e-ġhair meñ tum jo ga.e aur ’aish se shab-bhar vaañ hī rahe
sub.h aa.e to maiñ ne bhī dekh liyā jab guzre the mukhḌā chhupā ke sajan
tere dar pe baiThā huuñ dhūnī lagā vo kaun hai mujh ko jo degā uThā
mujhe dhamkī de kar mat tū Darā mar jā.ūñgā sar paTkā ke sajan
ghūñghaT ko uThā ab bahr-e-ḳhudā zarā husn-e-ḳhūbāñ mujh ko dikhā
kar vasl kā va.ada ab to vafā ye 'niyāz' gale se lagā ke sajan
dil chhin liya mera naz se tu ek aan mein aankhen mila ke sajan
be-dil mein taDapta hun rota sada haye aankhon se aansu baha ke sajan
main to aage hi kushta hun shoKH-e-nigah ab na kar itne jaur-o-jafa
tu ne KHun kiya ba-KHuda mera haye hathon pe mehndi laga ke sajan
mere nalon mein koi asar hi nahin mera thamta to dard-e-jigar hi nahin
mujhe aata kahin to nazar hi nahin haye zulf ka nag Dasa ke sajan
mujhe jine ka koi maza hi nahin mujhe chain to aata zara hi nahin
mere haal ka tujh ko pata hi nahin haye mara hai tu ne rula ke sajan
ai jaan-e-jahan tu ne dhoka kiya is baat ka mujh ko nahin tha pata
haye mujh ko sarapa jala hi diya tu ne 'ishq ki aag laga ke sajan
kal mahfil-e-ghair mein tum jo gae aur ’aish se shab-bhar wan hi rahe
subh aae to main ne bhi dekh liya jab guzre the mukhDa chhupa ke sajan
tere dar pe baiTha hun dhuni laga wo kaun hai mujh ko jo dega uTha
mujhe dhamki de kar mat tu Dara mar jaunga sar paTka ke sajan
ghunghaT ko uTha ab bahr-e-KHuda zara husn-e-KHuban mujh ko dikha
kar wasl ka wada ab to wafa ye 'niyaz' gale se laga ke sajan
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.