sanam tere ishq mein ab hui hasil hai ruswai
sanam tere 'ishq meñ ab huī hāsil hai rusvā.ī
koī kahtā hai dīvāna koī kahtā hai saudā.ī
mere dil meñ tamannā thī ki dekhūñgā ruḳh-e-anvar
jo pahuñchā maiñ dar-e-daulat na sūrat vo nazar aa.ī
na din ko chain hai mujh ko na shab ko niiñd aatī hai
huī muddat mujhe haaye na sūrat tū ne dikhlā.ī
taḌaptā huuñ sisaktā huuñ na martā huuñ na jiitā huuñ
tirī furqat meñ ai jānāñ tabī'at merī ghabrā.ī
ḳhizāñ aa.ī hai gulshan meñ 'niyāz' ab maiñ pareshāñ huuñ
ba-juz tere nahīñ bhātī mere dil ko ye tanhā.ī
sanam tere 'ishq mein ab hui hasil hai ruswai
koi kahta hai diwana koi kahta hai saudai
mere dil mein tamanna thi ki dekhunga ruKH-e-anwar
jo pahuncha main dar-e-daulat na surat wo nazar aai
na din ko chain hai mujh ko na shab ko nind aati hai
hui muddat mujhe haye na surat tu ne dikhlai
taDapta hun sisakta hun na marta hun na jita hun
teri furqat mein ai jaanan tabi'at meri ghabrai
KHizan aai hai gulshan mein 'niyaz' ab main pareshan hun
ba-juz tere nahin bhati mere dil ko ye tanhai
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.