aadam banaya tu ne hawwa banai tu ne
aadam banāyā tū ne havvā banā.ī tū ne
putlā banāyā tū ne phir jaan paa.ī tū ne
iblīs ko kahā tū kar sajda sidaq dil se
us kā qusūr kyā thā ġhaflat karā.ī tū ne
shakl-e-husain ho kar darja-e-kamāl paayā
phir ban yazīd zālim ḳhanjar chalā.ī tū ne
mansūr se huvaidā huā thā raaz terā
fauran pakaḌ ke us ko suulī dikhā.ī tū ne
shams kī kyā ḳhatā thī aa khaal kyuuñ utārī
āvāz qum-bi-iznī us dam sunā.ī tū ne
muusā behosh huā kahtā thā rabbe-arenī
āvāz lan-tarānī koh meñ sunā.ī tū ne
kahīñ ho ke shān-e-qādir kahīñ ho ke shān-e-ḳhvāja
kahīñ ban murīd sādiq gardan jhukā.ī tū ne
ab ye batā to mujh ko jā.ūñ maiñ kis taraf ko
ka.aba banāyā tū ne gañgā banā.ī tū ne
masjid-o-but-kada meñ rāz-o-‘niyāz’ terā
ahad se ho ke ahmad sūrat dikhā.ī tū ne
aadam banaya tu ne hawwa banai tu ne
putla banaya tu ne phir jaan pai tu ne
iblis ko kaha tu kar sajda sidaq dil se
us ka qusur kya tha ghaflat karai tu ne
shakl-e-husain ho kar darja-e-kamal paya
phir ban yazid zalim KHanjar chalai tu ne
mansur se huwaida hua tha raaz tera
fauran pakaD ke us ko suli dikhai tu ne
shams ki kya KHata thi aa khaal kyun utari
aawaz qum-bi-izni us dam sunai tu ne
musa behosh hua kahta tha rabbe-areni
aawaz lan-tarani koh mein sunai tu ne
kahin ho ke shan-e-qadir kahin ho ke shan-e-KHwaja
kahin ban murid sadiq gardan jhukai tu ne
ab ye bata to mujh ko jaun main kis taraf ko
kaba banaya tu ne ganga banai tu ne
masjid-o-but-kada mein raaz-o-‘niyaz’ tera
ahad se ho ke ahmad surat dikhai tu ne
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.