ghair ke ghar jate hue aaj sanam dekh liya
ġhair ke ghar jaate hue aaj sanam dekh liyā
tū na mānegā magar terī qasam dekh liyā
un ke ghar jaane kī kal khaa.ī thī qasmeñ tū ne
aaj sājan tirā imān-o-dharm dekh liyā
mujh se nafrat hai tujhe ġhair se ulfat pyāre
kyā vaj.h mujh ko batā jaur-o-sitam dekh liyā
dil diyā jaan bhī dī phir ho ḳhafā kyā hai ḳhatā
baa.is rañj batā kyā hai jurm dekh liyā
dekh kar nabz mirī yuuñ vo tabībā bolā
ye to jiine kā nahīñ dam hai ḳhatm dekh liyā
sun ke mazmūn-e-ġhazal bolā dikhāo vo 'niyāz'
bā liyāqat hai 'ajab jauhar-e-qalam dekh liyā
ghair ke ghar jate hue aaj sanam dekh liya
tu na manega magar teri qasam dekh liya
un ke ghar jaane ki kal khai thi qasmen tu ne
aaj sajan tera iman-o-dharm dekh liya
mujh se nafrat hai tujhe ghair se ulfat pyare
kya wajh mujh ko bata jaur-o-sitam dekh liya
dil diya jaan bhi di phir ho KHafa kya hai KHata
bais ranj bata kya hai jurm dekh liya
dekh kar nabz meri yun wo tabiba bola
ye to jine ka nahin dam hai KHatm dekh liya
sun ke mazmun-e-ghazal bola dikhao wo 'niyaz'
ba liyaqat hai 'ajab jauhar-e-qalam dekh liya
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.