ishq ne sarapa jala hi diya hai
'ishq ne sarāpā jalā hī diyā hai
dikhānā thā jo vo dikhā hī diyā hai
nahīñ hosh apnā bajā ab to yaaro
mujhe mast-e-be-ḳhud banā hī diyā hai
maiñ soyā paḌā thā jo ḳhvāb-e-'adam meñ
lagā kar ke Thokar jagā hī diyā hai
kahīñ nahnu-’aqrab kā va.ada hai karatā
kahīñ lā-makāñ huuñ sunā hī diyā hai
kahīñ husn-e-yūsuf meñ jalva dikhāyā
zuleḳhā ko shaidā banā hī diyā hai
kahīñ ho ke muusā kahe rabbe-arenī
kahīñ lan-tarānī sunā hī diyā hai
kahīñ be-ḳhudī meñ anal-haq pukāre
jo mansūr suulī chaḌhā hī diyā hai
kahīñ kunto-kanzan hai detā gavāhī
jo ahad se ahmad banā hī diyā hai
kahīñ sūrat-e-ādam meñ jalva hai detā
malā.ik ne sar ko jhukā hī diyā hai
kiyā hai jo inkār shaitān-e-la.īñ ne
to mal.ūn us ko banā hī diyā hai
likhā kar to mazmūn-e-shīrīñ 'niyāz' ab
jo shā.ir tujhe haq banā hī diyā hai
'ishq ne sarapa jala hi diya hai
dikhana tha jo wo dikha hi diya hai
nahin hosh apna baja ab to yaro
mujhe mast-e-be-KHud bana hi diya hai
main soya paDa tha jo KHwab-e-'adam mein
laga kar ke Thokar jaga hi diya hai
kahin nahnu-’aqrab ka wada hai karata
kahin la-makan hun suna hi diya hai
kahin husn-e-yusuf mein jalwa dikhaya
zuleKHa ko shaida bana hi diya hai
kahin ho ke musa kahe rabbe-areni
kahin lan-tarani suna hi diya hai
kahin be-KHudi mein anal-haq pukare
jo mansur suli chaDha hi diya hai
kahin kunto-kanzan hai deta gawahi
jo ahad se ahmad bana hi diya hai
kahin surat-e-adam mein jalwa hai deta
malaik ne sar ko jhuka hi diya hai
kiya hai jo inkar shaitan-e-lain ne
to malun us ko bana hi diya hai
likha kar to mazmun-e-shirin 'niyaz' ab
jo shair tujhe haq bana hi diya hai
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.