ghairon ki mahfil mein jaana nahin tha
ġhairoñ kī mahfil meñ jaanā nahīñ thā
mirī jaañ mirā dil dukhānā nahīñ thā
agar mujh se milne se nafrat hai pyāre
to pahle hī ulfat baḌhānā nahīñ thā
taḌaptā huuñ be-dil ḳhabar le masīhā
marīz-e-’ishq kiyā jalānā nahii. thā
maiñ 'āshiq tirā bā-vafā ai piyā huuñ
mujhe dar-badar pe rulānā nahīñ thā
mirā nāma-e-ulfat jo pahuñchā thā tujh ko
'adū ko ye paḌh kar sunānā nahīñ thā
kahūñ kis ko jā kar maiñ dil kī haqīqat
ye furqat meñ mujh ko jalānā nahīñ thā
'niyāz' ab tirī yaad meñ dam-badam hai
use pyāre dil se bhulānā nahīñ thā
ghairon ki mahfil mein jaana nahin tha
meri jaan mera dil dukhana nahin tha
agar mujh se milne se nafrat hai pyare
to pahle hi ulfat baDhana nahin tha
taDapta hun be-dil KHabar le masiha
mariz-e-’ishq kiya jalana nahi tha
main 'ashiq tera ba-wafa ai piya hun
mujhe dar-badar pe rulana nahin tha
mera nama-e-ulfat jo pahuncha tha tujh ko
'adu ko ye paDh kar sunana nahin tha
kahun kis ko ja kar main dil ki haqiqat
ye furqat mein mujh ko jalana nahin tha
'niyaz' ab teri yaad mein dam-badam hai
use pyare dil se bhulana nahin tha
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.