ya muhiuddin mujhko shauq hai didar ka
Interesting Fact
منقبت درشان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
yā muhi.ūddīn mujh ko shauq hai dīdār kā
hai basā āñkhoñ meñ naqsha aap ke darbār kā
chashm-e-giryāñ dil hai bariyāñ hijr meñ tere shahā
dam laboñ par aa gayā hai aap ke bīmār kā
bahr-e-’isyāñ meñ huuñ Duubā al-madad yā ġhaus-e-pāk
sun lo tā-ki ġhaur se is banda-e-nā-chār kā
na huuñ suufī na huuñ aalim na huuñ zāhid pārsā
maiñ sag-e-nāpāk huuñ bas aap ke darbār kā
ho valī mahbūb-e-haq zer-e-qadam sab auliyā
dosh pe tere qadam hai ahmad-e-muḳhtār kā
dushmanoñ kā fikr-e-ġham mujh ko nahīñ mutlaq 'niyāz'
haath meñ qabza hai mere qādrī talvār kā
ya muhiuddin mujh ko shauq hai didar ka
hai basa aankhon mein naqsha aap ke darbar ka
chashm-e-giryan dil hai bariyan hijr mein tere shaha
dam labon par aa gaya hai aap ke bimar ka
bahr-e-’isyan mein hun Duba al-madad ya ghaus-e-pak
sun lo ta-ki ghaur se is banda-e-na-chaar ka
na hun sufi na hun aalim na hun zahid parsa
main sag-e-napak hun bas aap ke darbar ka
ho wali mahbub-e-haq zer-e-qadam sab auliya
dosh pe tere qadam hai ahmad-e-muKHtar ka
dushmanon ka fikr-e-gham mujh ko nahin mutlaq 'niyaz'
hath mein qabza hai mere qadri talwar ka
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.