hina dast-e-dilbar lagai hui hai
hinā dast-e-dilbar lagā.ī huī hai
kisī kī qazā aaj aa.ī huī hai
kareñge vo ḳhuuñ aaj 'āshiq kisī kā
ki māthe pe tevrī chaḌhā.ī huī hai
shab-e-vasl jhuñjhlā ke mujh ko haiñ kahte
na chheḌo mujhe niiñd aa.ī huī hai
maiñ letā huuñ bosa vo dete haiñ gaalī
isī baat pe ab laḌā.ī huī hai
sambhālo ye añgiyā meñ joban ko pyāre
koī chiiz us meñ chhupā.ī huī hai
'niyāz' ab karūñ kis se shikva sanam kā
ki us pe to shaidā ḳhudā.ī huī hai
hina dast-e-dilbar lagai hui hai
kisi ki qaza aaj aai hui hai
karenge wo KHun aaj 'ashiq kisi ka
ki mathe pe tewri chaDhai hui hai
shab-e-wasl jhunjhla ke mujh ko hain kahte
na chheDo mujhe nind aai hui hai
main leta hun bosa wo dete hain gali
isi baat pe ab laDai hui hai
sambhaalo ye angiya mein joban ko pyare
koi chiz us mein chhupai hui hai
'niyaz' ab karun kis se shikwa sanam ka
ki us pe to shaida KHudai hui hai
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 4)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.