sinon se meri zahid judai ho nahin sakti
sīnoñ se merī zāhid judā.ī ho nahīñ saktī
miyāñ merī terī bāham rasā.ī ho nahīñ saktī
terī pand-o-nasīhat kā nahīñ hotā asar mujh ko
ye jhūTī bātoñ kī dil meñ samā.ī ho nahīñ saktī
kahā us gul-badan se maiñ na milnā ab raqīboñ se
chaḌhā kar tevrī bole burā.ī ho nahīñ saktī
nabz ko dekh kar merī tabīb hañs ke yuuñ bolā
marīz-e-'ishq kī mujh se davā.ī ho nahīñ saktī
lagā kar haath meñ mehñdī kiyā hai ḳhuun 'āshiq kā
tere dast-e-mubārak se bhalā.ī ho nahīñ saktī
qalam ruk-ruk ke chaltā hai safha-e-qirtās pe merā
tabī'at kī 'niyāz' aage rasā.ī ho nahīñ saktī
sinon se meri zahid judai ho nahin sakti
miyan meri teri baham rasai ho nahin sakti
teri pand-o-nasihat ka nahin hota asar mujh ko
ye jhuTi baaton ki dil mein samai ho nahin sakti
kaha us gul-badan se main na milna ab raqibon se
chaDha kar tewri bole burai ho nahin sakti
nabz ko dekh kar meri tabib hans ke yun bola
mariz-e-'ishq ki mujh se dawai ho nahin sakti
laga kar hath mein mehndi kiya hai KHun 'ashiq ka
tere dast-e-mubarak se bhalai ho nahin sakti
qalam ruk-ruk ke chalta hai safha-e-qirtas pe mera
tabi'at ki 'niyaz' aage rasai ho nahin sakti
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 5)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.