jo apni KHudi se juda ho gaya hai
jo apnī ḳhudī se judā ho gayā hai
haqīqat meñ vo ḳhud ḳhudā ho gayā hai
marā apne marne se pahle jo yaaro
vo 'ārif huā aur baqā ho gayā hai
kiyā jis ko irshād-o-murshid ne talqīñ
to be-shak vo bātin safā ho gayā hai
nikal kar jo kasrat se vahdat meñ aayā
vo hastī se apnī rihā ho gayā hai
kiyā jaam saaqī ne jis ko 'atā hai
to vahdat kā us ko nasha ho gayā hai
huā jān-e-jānāñ kā 'āshiq jo sādiq
to dil se miyāñ vo fidā ho gayā hai
karūñ kyā 'niyāz' ab nahīñ qalam chaltā
ye mazmūn terā baḌā ho gayā hai
jo apni KHudi se juda ho gaya hai
haqiqat mein wo KHud KHuda ho gaya hai
mara apne marne se pahle jo yaro
wo 'arif hua aur baqa ho gaya hai
kiya jis ko irshad-o-murshid ne talqin
to be-shak wo baatin safa ho gaya hai
nikal kar jo kasrat se wahdat mein aaya
wo hasti se apni riha ho gaya hai
kiya jam saqi ne jis ko 'ata hai
to wahdat ka us ko nasha ho gaya hai
hua jaan-e-jaanan ka 'ashiq jo sadiq
to dil se miyan wo fida ho gaya hai
karun kya 'niyaz' ab nahin qalam chalta
ye mazmun tera baDa ho gaya hai
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 6)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.