jam-e-mai-e-wahdat pilaya yar ne
jām-e-mai-e-vahdat pilāyā yaar ne
mujh ko mastāna banāyā yaar ne
piite hī majnūñ maiñ to ho gayā
dar-badar mujh ko phirāyā yaar ne
miT gayā nām-o-nishāñ merā sabhī
raḳht-e-hastī kā jalāyā yaar ne
phir 'ajab mujh ko diyā shān-e-'urūj
banda se maulā banāyā yaar ne
mā-sivā-e-haq nahīñ maujūd-e-ġhair
kyā 'ajab nukta batāyā yaar ne
bol uThā mansūr anal-haq josh meñ
daar par us ko chaḌhāyā yaar ne
aap hī mulla-o-muftī maulvī
aap hī jāhil kahāyā yaar ne
aap mutrib aap sāz-o-āp raag
aap hī gaayā bajāyā yaar ne
ai 'niyāz' ab to nahīñ likhtā ġhazal
qalam-e-dast-e-kHud chalāyā yaar ne
jam-e-mai-e-wahdat pilaya yar ne
mujh ko mastana banaya yar ne
pite hi majnun main to ho gaya
dar-badar mujh ko phiraya yar ne
miT gaya nam-o-nishan mera sabhi
raKHt-e-hasti ka jalaya yar ne
phir 'ajab mujh ko diya shan-e-'uruj
banda se maula banaya yar ne
ma-siwa-e-haq nahin maujud-e-ghair
kya 'ajab nukta bataya yar ne
bol uTha mansur anal-haq josh mein
dar par us ko chaDhaya yar ne
aap hi mulla-o-mufti maulwi
aap hi jahil kahaya yar ne
aap mutrib aap saz-o-ap rag
aap hi gaya bajaya yar ne
ai 'niyaz' ab to nahin likhta ghazal
qalam-e-dast-e-kHud chalaya yar ne
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 7)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.