zara ruKH se parda uTha zulfon wale
zarā ruḳh se parda uThā zulfoñ vaale
mujhe chāñd-sā muñh dikhā zulfoñ vaale
raqīboñ se milnā nahīñ tum ko achchhā
na jale hue dil ko jalā zulfoñ vaale
shab-o-roz furqat meñ rotā huuñ terī
huā jab se tū hai judā zulfoñ vaale
liyā chhīn dil ko na phir haal pūchhā
huī mujh se kyā hai ḳhatā zulfoñ vaale
mohabbat se maiñ ne tujhe kal bulāyā
tū mujh se huā kyuuñ ḳhafā zulfoñ vaale
'niyāz' ab tamannā hai dil se ye merī
gale se tū apne lagā zulfoñ vaale
zara ruKH se parda uTha zulfon wale
mujhe chand-sa munh dikha zulfon wale
raqibon se milna nahin tum ko achchha
na jale hue dil ko jala zulfon wale
shab-o-roz furqat mein rota hun teri
hua jab se tu hai juda zulfon wale
liya chhin dil ko na phir haal puchha
hui mujh se kya hai KHata zulfon wale
mohabbat se main ne tujhe kal bulaya
tu mujh se hua kyun KHafa zulfon wale
'niyaz' ab tamanna hai dil se ye meri
gale se tu apne laga zulfon wale
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.