nukta-chin hai gham-e-dil usko sunae na bane
nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunā.e na bane
kyā bane baat jahāñ baat banā.e na bane
maiñ bulātā to huuñ us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jaa.e kuchh aisī ki bin aa.e na bane
khel samjhā hai kahīñ chhoḌ na de bhuul na jaa.e
kaash yuuñ bhī ho ki bin mere satā.e na bane
ġhair phirtā hai liye yuuñ tire ḳhat ko ki agar
koī pūchhe ki ye kyā hai to chhupā.e na bane
is nazākat kā burā ho vo bhale haiñ to kyā
haath aaveñ to unheñ haath lagā.e na bane
kah sake kaun ki ye jalva-garī kis kī hai
parda chhoḌā hai vo us ne ki uThā.e na bane
maut kī raah na dekhūñ ki bin aa.e na rahe
tum ko chāhūñ ki na aao to bulā.e na bane
bojh vo sar se girā hai ki uThā.e na uThe
kaam vo aan paḌā hai ki banā.e na bane
'ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib'
ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane
nukta-chin hai gham-e-dil us ko sunae na bane
kya bane baat jahan baat banae na bane
main bulata to hun us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jae kuchh aisi ki bin aae na bane
khel samjha hai kahin chhoD na de bhul na jae
kash yun bhi ho ki bin mere satae na bane
ghair phirta hai liye yun tere KHat ko ki agar
koi puchhe ki ye kya hai to chhupae na bane
is nazakat ka bura ho wo bhale hain to kya
hath aawen to unhen hath lagae na bane
kah sake kaun ki ye jalwa-gari kis ki hai
parda chhoDa hai wo us ne ki uThae na bane
maut ki rah na dekhun ki bin aae na rahe
tum ko chahun ki na aao to bulae na bane
bojh wo sar se gira hai ki uThae na uThe
kaam wo aan paDa hai ki banae na bane
'ishq par zor nahin hai ye wo aatish 'ghaalib'
ki lagae na lage aur bujhae na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.