main mahw-e-tauf paiham tha liye paimana ka’be mein
maiñ mahv-e-tauf paiham thā liye paimāna kā’be meñ
ma.āz-allāh vo merī laġhzish-e-mastāna kā’be meñ
jamā'at kī namāzeñ aur dar-o-dīvār ke bose
milā rakhī hai rasm-e-masjid-o-but-kHāna kā’be meñ
bajā.e dast-e-sāqī chūmte haiñ sañg-e-asvad ko
nazar aatā hai jalva be-rukH-e-jānā kā’be meñ
qasam hai nargis-e-sāqī ke mastāna ishāroñ kī
bahut yaad aa.ī mujh ko gardish-e-paimāna kā’be meñ
agar sajda na karatā maiñ to kyā karatā kahāñ jaatā
ḳhudā ban-ban ke aayā jalva-e-jānāna kā’be meñ
hudūd-e-shar.a meñ bhī dekhnā pābandī-e-ulfat
tavāf-e-sham.a hī karatā rahā parvāna kā’be meñ
'nushūr' āḳhir vahāñ bhī rishta-e-sāqī nahīñ TuuTā
tajallī ban ke aayā shāhid-e-mai-kHāna kā’be meñ
main mahw-e-tauf paiham tha liye paimana ka’be mein
maaz-allah wo meri laghzish-e-mastana ka’be mein
jama'at ki namazen aur dar-o-diwar ke bose
mila rakhi hai rasm-e-masjid-o-but-kHana ka’be mein
bajae dast-e-saqi chumte hain sang-e-aswad ko
nazar aata hai jalwa be-rukH-e-jaana ka’be mein
qasam hai nargis-e-saqi ke mastana ishaaron ki
bahut yaad aai mujh ko gardish-e-paimana ka’be mein
agar sajda na karata main to kya karata kahan jata
KHuda ban-ban ke aaya jalwa-e-jaanana ka’be mein
hudud-e-shara mein bhi dekhna pabandi-e-ulfat
tawaf-e-shama hi karata raha parwana ka’be mein
'nushur' aaKHir wahan bhi rishta-e-saqi nahin TuTa
tajalli ban ke aaya shahid-e-mai-kHana ka’be mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.