KHuda jaane ye kis shahr andar haman ko lade Dala hai
KHuda jaane ye kis shahr andar haman ko lade Dala hai
Pandit Chandr Bhan Barahman
MORE BYPandit Chandr Bhan Barahman
ḳhudā jaane ye kis shahr andar haman ko laade Daalā hai
na dilbar hai na saaqī hai na shīsha hai na piyāla hai
piyā ke naam kī sumirān kyā chāhūñ karūñ kaise
na tasbīh hai na sumran hai na kanThī hai na maalā hai
piyā ke naam 'āshiq kaun qatl-e-bā-’ajab dekhūñ huuñ
na barchhī hai na karchhī hai na ḳhanjar hai na bhālā hai
ḳhūbāñ ke baaġh meñ raunaq hove to kis tarah yārāñ
na donā hai na marvā hai na sosan hai na laalā hai
'barahman' vāste ashnān ke phirtā hai bagiyā siiñ
na gañgā hai na jamunā hai na nadī hai na naalā hai
KHuda jaane ye kis shahr andar haman ko lade Dala hai
na dilbar hai na saqi hai na shisha hai na piyala hai
piya ke nam ki sumiran kya chahun karun kaise
na tasbih hai na sumran hai na kanThi hai na mala hai
piya ke nam 'ashiq kaun qatl-e-ba-’ajab dekhun hun
na barchhi hai na karchhi hai na KHanjar hai na bhaala hai
KHuban ke bagh mein raunaq howe to kis tarah yaran
na dona hai na marwa hai na sosan hai na lala hai
'barahman' waste ashnan ke phirta hai bagiya sin
na ganga hai na jamuna hai na nadi hai na nala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.