parwane kyun na KHak hon jal kar charagh mein
parvāne kyuuñ na ḳhaak hoñ jal kar charāġh meñ
jalva usī ke nuur kā hai har charāġh meñ
qāsid kā sar hai mahfil-e-jānāñ meñ mīr-e-farsh
roġhan kī jā hai ḳhūn-e-kabūtar charāġh meñ
laale meñ tum ho gul meñ ho tum mehr-o-mah meñ tum
jalva tumhāre chehre kā hai har charāġh meñ
āshiq haiñ gosha-gīr nahīñ kūcha-gard ham
parvāne jalte phirte haiñ ghar ghar charāġh meñ
kāmil jo ishq meñ hai use soz se hai saaz
parvāna-sāñ jale na samandar charāġh meñ
zaa.il shabāb ho to kahāñ husn meñ namak
roġhan na ho to nuur ho kyuuñ kar charāġh meñ
hai jalva-gāh-e-yār chaman ho ki bazm ho
har phuul meñ vo bū hai ziyā har charāġh meñ
parvāne aise nashsha-e-ulfat se haiñ jo mast
kyā mai bharī hai sūrat-e-sāġhar charāġh meñ
dil āshiqoñ ke kyuuñ na ho qurbān-e-rū-e-yār
parvāne jal rahe haiñ barābar charāġh meñ
hañsne meñ us ke dāñtoñ kā partav agar paḌe
ho har fatīla rishta-e-gauhar charāġh meñ
parwane kyun na KHak hon jal kar charagh mein
jalwa usi ke nur ka hai har charagh mein
qasid ka sar hai mahfil-e-jaanan mein mir-e-farsh
roghan ki ja hai KHun-e-kabutar charagh mein
lale mein tum ho gul mein ho tum mehr-o-mah mein tum
jalwa tumhaare chehre ka hai har charagh mein
aashiq hain gosha-gir nahin kucha-gard hum
parwane jalte phirte hain ghar ghar charagh mein
kaamil jo ishq mein hai use soz se hai saz
parwana-san jale na samandar charagh mein
zail shabab ho to kahan husn mein namak
roghan na ho to nur ho kyun kar charagh mein
hai jalwa-gah-e-yar chaman ho ki bazm ho
har phul mein wo bu hai ziya har charagh mein
parwane aise nashsha-e-ulfat se hain jo mast
kya mai bhari hai surat-e-saghar charagh mein
dil aashiqon ke kyun na ho qurban-e-ru-e-yar
parwane jal rahe hain barabar charagh mein
hansne mein us ke danton ka partaw agar paDe
ho har fatila rishta-e-gauhar charagh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.