marīzoñ ko taskīn zarā dete jaao
davā dete jaao du'ā dete jaao
du'ā gar na do to sunā dete jaao
mire pyaar kā kuchh silā dete jaao
guzargāh-kHūbāñ meñ apnī sadā hai
koī bosa rāh-e-ḳhudā dete jaao
ye nāzuk sā ik shīsha tum dil ke patthar
ḳhudā ke liye dil mirā dete jaao
mirā dil to barbād hī kar chuke tum
kahāñ ab maloge patā dete jaao
maiñ kyā kah ke samjhā.ūñgā apne dil ko
zabāñ mujh ko bahr-e-ḳhudā dete jaao
jalīl aa hī jā.egā rahm us sanam ko
tum allāh kā vāsta dete jaao
marizon ko taskin zara dete jao
dawa dete jao du'a dete jao
du'a gar na do to suna dete jao
mere pyar ka kuchh sila dete jao
guzargah-kHuban mein apni sada hai
koi bosa rah-e-KHuda dete jao
ye nazuk sa ek shisha tum dil ke patthar
KHuda ke liye dil mera dete jao
mera dil to barbaad hi kar chuke tum
kahan ab maloge pata dete jao
main kya kah ke samjhaunga apne dil ko
zaban mujh ko bahr-e-KHuda dete jao
jalil aa hi jaega rahm us sanam ko
tum allah ka wasta dete jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.