bhej kar hazaron ko kaam kuchh na bar aaya
bhej kar hazāroñ ko kaam kuchh na bar aayā
naam le ke ahmad kā yaar ḳhud utar aayā
pūchhte ho kyā un ko yaar kā bahāna thā
yaar thā vo yāroñ meñ tum ko kyā nazar aayā
sar paTak ke rote haiñ aaj tak madīna meñ
ham ko ye nahīñ mā'lūm kaun thā kidhar aayā
ek shab ga.e the vo sair kar ke aane ko
kā milo zarā samjho kyā vahāñ nazar aayā
aaj tak bhī hai maujūd dekho sar aadam meñ
nuur ban ke vahdat se nukta nazar aayā
‘pīr’ ke tasavvur meñ un kā hī nazāra hai
har makāñ meñ un kā hī lā-makāñ nazar aayā
bhej kar hazaron ko kaam kuchh na bar aaya
nam le ke ahmad ka yar KHud utar aaya
puchhte ho kya un ko yar ka bahana tha
yar tha wo yaron mein tum ko kya nazar aaya
sar paTak ke rote hain aaj tak madina mein
hum ko ye nahin ma'lum kaun tha kidhar aaya
ek shab gae the wo sair kar ke aane ko
ka milo zara samjho kya wahan nazar aaya
aaj tak bhi hai maujud dekho sar aadam mein
nur ban ke wahdat se nukta nazar aaya
‘pir’ ke tasawwur mein un ka hi nazara hai
har makan mein un ka hi la-makan nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.