har sans meri ya rab tujhko hi pukari hai
har saañs merī yā rab tujh ko hī pukārī hai
yuuñ yād-e-ilāhī meñ ek 'umr guzārī hai
ham 'āshiq-e-sādiq haiñ is nūr-e-mujassam ke
ye dozaḳh jannat kyā har chiiz hamārī hai
pī kar mai-e-ulfat ko tum bhī to kabhī dekho
'uqbā bhī tumhārā hai duniyā bhī tumhārī hai
ye kā’ba kalīsā ho yā dair-o-haram saaqī
kyā kaam kisī se ab jab yaar se yaarī hai
kyā ḳhauf-e-qadīrullāh jo tere dīvāne haiñ
dāman bhī tumhārā hai qudrat bhī tumhārī hai
ye 'pīr' ke dar se hī har chiiz milī ham ko
bas un kī mohabbat hī sau jaan se pyārī hai
har sans meri ya rab tujh ko hi pukari hai
yun yaad-e-ilahi mein ek 'umr guzari hai
hum 'ashiq-e-sadiq hain is nur-e-mujassam ke
ye dozaKH jannat kya har chiz hamari hai
pi kar mai-e-ulfat ko tum bhi to kabhi dekho
'uqba bhi tumhaara hai duniya bhi tumhaari hai
ye ka’ba kalisa ho ya dair-o-haram saqi
kya kaam kisi se ab jab yar se yari hai
kya KHauf-e-qadirullah jo tere diwane hain
daman bhi tumhaara hai qudrat bhi tumhaari hai
ye 'pir' ke dar se hi har chiz mili hum ko
bas un ki mohabbat hi sau jaan se pyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.