uThe na the abhi hum haal-e-dil sunane ko
uThe na the abhi hum haal-e-dil sunane ko
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
uThe na the abhī ham hāl-e-dil sunāne ko
zamāne baiTh gayā hāshiye chaḌhāne ko
bharī bahār meñ pahuñchī ḳhizāñ miTāne ko
qadam uThā.e jo kaliyoñ ne muskurāne ko
jalāyā ātish-e-gul ne chaman meñ har tinkā
bahār phūñk ga.ī mere āshiyāne ko
jamāl-e-bāda-o-sāġhar meñ haiñ rumūz bahut
mirī nigāh se dekho sharāb-ḳhāne ko
qadam qadam pe rulāyā hameñ muqaddar ne
ham un ke shahar meñ aa.e the muskurāne ko
na jaane ab vo mujhe kyā javāb dete haiñ
sunā to dī hai unheñ dāstāñ sunāne ko
kaho ki ham se raheñ duur hazrat-e-vā’iz
baḌe kahīñ ke ye aa.e sabaq paḌhāne ko
ab ek jashn-e-qiyāmat hī aur baaqī hai
adāoñ se to vo bahlā chuke zamāne ko
shab-e-firāq na tum aa sake na maut aa.ī
ġhamoñ ne gher liyā thā ġharīb-ḳhāne ko
'nasīr' jin se tavaqqo' thī saath dene kī
tule haiñ mujh pe vahī uñgliyāñ uThāne ko
uThe na the abhi hum haal-e-dil sunane ko
zamane baiTh gaya hashiye chaDhane ko
bhari bahaar mein pahunchi KHizan miTane ko
qadam uThae jo kaliyon ne muskurane ko
jalaya aatish-e-gul ne chaman mein har tinka
bahaar phunk gai mere aashiyane ko
jamal-e-baada-o-saghar mein hain rumuz bahut
meri nigah se dekho sharab-KHane ko
qadam qadam pe rulaya hamein muqaddar ne
hum un ke shahar mein aae the muskurane ko
na jaane ab wo mujhe kya jawab dete hain
suna to di hai unhen dastan sunane ko
kaho ki hum se rahen dur hazrat-e-wa’iz
baDe kahin ke ye aae sabaq paDhane ko
ab ek jashn-e-qiyamat hi aur baqi hai
adaon se to wo bahla chuke zamane ko
shab-e-firaq na tum aa sake na maut aai
ghamon ne gher liya tha gharib-KHane ko
'nasir' jin se tawaqqo' thi sath dene ki
tule hain mujh pe wahi ungliyan uThane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.