aaj mil kar bhi un se na kuchh baat ki
aaj mil kar bhī un se na kuchh baat kī
haa.e majbūriyāñ mere hālāt kī
sub.h ko baḳhsh dī jo bachī raat kī
ye 'ināyat hai pīr-e-ḳharābāt kī
tez-tar kyuuñ na ho sho'la-e-ārzū
hijr kī raat phir vo bhī barsāt kī
allāh allāh majāz-e-haqīqat-e-numā
vo bashar hai ki tasvīr hai zaat kī
vo jo ḳhud-dār hai maiñ burā kyuuñ kahūñ
is sifat meñ jhalak hai mirī zaat kī
hāsil-e-zindagī 'ishq kā mā-hasal
chand ghaḌiyāñ vo un se mulāqāt kī
shukr kar us kā shikvā 'nasīr' ab na kar
kal vo aayā muḳhātab huā baat kī
ai 'nasīr' un ko apnā banā leñge ham
koī sūrat to nikle mulāqāt kī
aaj mil kar bhi un se na kuchh baat ki
hae majburiyan mere haalat ki
subh ko baKHsh di jo bachi raat ki
ye 'inayat hai pir-e-KHarabaat ki
tez-tar kyun na ho sho'la-e-arzu
hijr ki raat phir wo bhi barsat ki
allah allah majaz-e-haqiqat-e-numa
wo bashar hai ki taswir hai zat ki
wo jo KHud-dar hai main bura kyun kahun
is sifat mein jhalak hai meri zat ki
hasil-e-zindagi 'ishq ka ma-hasal
chand ghaDiyan wo un se mulaqat ki
shukr kar us ka shikwa 'nasir' ab na kar
kal wo aaya muKHatab hua baat ki
ai 'nasir' un ko apna bana lenge hum
koi surat to nikle mulaqat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.