Than li maine bhi saqi yahin mar jaane ki
Than li maine bhi saqi yahin mar jaane ki
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Thaan lī maiñ ne bhī saaqī yahīñ mar jaane kī
kitnī dilkash haiñ fazā.eñ tere mai-ḳhāne kī
vaah kyā ḳhuub nishānī hai ye mai-ḳhāne kī
dil meñ tasvīr khiñchī rahtī hai paimāne kī
sirf ġham ḳhāk-basar chāk-e-garebāñ muztar
qābil-e-rahm hai sūrat tere dīvāne kī
chāñd badlī meñ dekhā to mujhe yaad aayā
us meñ bhī ek jhalak hai tire sharmāne kī
yaad aatī haiñ kisī kī vo nashīlī āñkheñ
dekh kar shakl chhalakte hue paimāne kī
naza.a ke vaqt mubādā koī ilzām aa jaa.e
us ghaḌī aap na taklīf kareñ aane kī
tū salāmat rahe gulshan kī bahāreñ dekhe
ye duā hai dam-e-āḳhir tere dīvāne kī
rind-e-bad-mast kī tauba bhī koī tauba hai
TuuT jā.egī chhalak dekh ke paimāne kī
maiñ vo zarra huuñ jo hai mehr-e-alī se raushan
kis qadar mujh pe ināyat mere maulā ne kī
aag kā rizq hai vo soḳhta qismat bhī 'nasīr'
sham-e-tasvīr hai jalte hue parvāne kī
Than li main ne bhi saqi yahin mar jaane ki
kitni dilkash hain fazaen tere mai-KHane ki
wah kya KHub nishani hai ye mai-KHane ki
dil mein taswir khinchi rahti hai paimane ki
sirf gham KHak-basar chaak-e-gareban muztar
qabil-e-rahm hai surat tere diwane ki
chand badli mein dekha to mujhe yaad aaya
us mein bhi ek jhalak hai tere sharmane ki
yaad aati hain kisi ki wo nashili aankhen
dekh kar shakl chhalakte hue paimane ki
naza ke waqt mubaada koi ilzam aa jae
us ghaDi aap na taklif karen aane ki
tu salamat rahe gulshan ki bahaaren dekhe
ye dua hai dam-e-aKHir tere diwane ki
rind-e-bad-mast ki tauba bhi koi tauba hai
TuT jaegi chhalak dekh ke paimane ki
main wo zarra hun jo hai mehr-e-ali se raushan
kis qadar mujh pe inayat mere maula ne ki
aag ka rizq hai wo soKHta qismat bhi 'nasir'
sham-e-taswir hai jalte hue parwane ki
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 822)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.