hamara aur koi gham-gusar bhi to nahin
hamārā aur koī ġham-gusār bhī to nahīñ
tirī qasam kā magar e'tibār bhī to nahīñ
jafā pasand nahīñ nāgavār bhī to nahīñ
sitam to ye hai ki tū sharmsār bhī to nahīñ
tirī nigāh ko āḳhir kahāñ talāsh karūñ
rukī na dil meñ magar ār-pār bhī to nahīñ
kisī ġharīb pe aañsū bahā.e kaun yahāñ
ye be-kasī hai ki sham'-e-mazār bhī to nahīñ
hazār baar pukārā use mohabbat meñ
javāb us ne diyā ek baar bhī to nahīñ
talāsh phir hai mirī aaj kyuuñ zamāne ko
nishān-e-qabr kahāñ ab ġhubār bhī to nahīñ
kahāñ pe jā ke kareñ kunj-e-āfiyat kī talāsh
'nasīr' jā-e-sukūñ kū-e-yār bhī to nahīñ
hamara aur koi gham-gusar bhi to nahin
teri qasam ka magar e'tibar bhi to nahin
jafa pasand nahin nagawar bhi to nahin
sitam to ye hai ki tu sharmsar bhi to nahin
teri nigah ko aaKHir kahan talash karun
ruki na dil mein magar aar-par bhi to nahin
kisi gharib pe aansu bahae kaun yahan
ye be-kasi hai ki sham'-e-mazar bhi to nahin
hazar bar pukara use mohabbat mein
jawab us ne diya ek bar bhi to nahin
talash phir hai meri aaj kyun zamane ko
nishan-e-qabr kahan ab ghubar bhi to nahin
kahan pe ja ke karen kunj-e-afiyat ki talash
'nasir' ja-e-sukun ku-e-yar bhi to nahin
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 834)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.