qasid ki ummid hai yaro qasid to aa jaega
qāsid kī ummīd hai yaaro qāsid to aa jā.egā
lekin ham us vaqt na hoñge jab un kā ḳhat aa.egā
kahte haiñ kis ko dard-e-mohabbat kaun tumheñ batlā.egā
pyaar kisī se kar ke dekho ḳhud hī patā chal jā.egā
thaam ke dil rah jā.eñge vo dekh ke merī mayyat ko
merā janāza jab ki nikal kar un kī galī se jā.egā
Thokar khāne vaale raahī us meñ ḳhatā rahbar kī nahīñ
jo na chalegā dekh ke rasta raah meñ Thokar khā.egā
luTne kā afsos bajā hai lekin ai luTne vaalo
kis ko ḳhabar thī qāfila aa kar manzil pe luT jā.egā
shīsha-e-dil us but ne toḌā 'purnam' us meñ hairat kyā
TuuT hī jā.egā jo shīsha patthar se Takrā.egā
qasid ki ummid hai yaro qasid to aa jaega
lekin hum us waqt na honge jab un ka KHat aaega
kahte hain kis ko dard-e-mohabbat kaun tumhein batlaega
pyar kisi se kar ke dekho KHud hi pata chal jaega
tham ke dil rah jaenge wo dekh ke meri mayyat ko
mera janaza jab ki nikal kar un ki gali se jaega
Thokar khane wale rahi us mein KHata rahbar ki nahin
jo na chalega dekh ke rasta rah mein Thokar khaega
luTne ka afsos baja hai lekin ai luTne walo
kis ko KHabar thi qafila aa kar manzil pe luT jaega
shisha-e-dil us but ne toDa 'purnam' us mein hairat kya
TuT hi jaega jo shisha patthar se Takraega
- Book : Kulliyat-e-Purnam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.