mera gham aur meri har KHushi tum se hai
merā ġham aur merī har ḳhushī tum se hai
jān-e-man ye merī zindagī tum se hai
ai merī jān-e-jāñ ai merī mehrbāñ
tum se rañgīn haiñ ye zamīñ āsmāñ
tum se ābād hai mere dil kā jahāñ
tum merā chāñd ho chāñdī tum se hai
tū nishānī mohabbat kī manzil kī hai
tere dam se hasīñ anjuman dil kī hai
saarī raunaq tumhī se ye mahfil kī hai
sham.a-e-mahfil ho tum raushnī tum se hai
faisla hai yahī baat hai ye aTal
husn vāloñ meñ terā nahīñ hai badal
giit kā husn ho tum ho jān-e-ġhazal
shā'iroñ kī hasīñ shā'irī tum se hai
mera gham aur meri har KHushi tum se hai
jaan-e-man ye meri zindagi tum se hai
ai meri jaan-e-jaan ai meri mehrban
tum se rangin hain ye zamin aasman
tum se aabaad hai mere dil ka jahan
tum mera chand ho chandi tum se hai
tu nishani mohabbat ki manzil ki hai
tere dam se hasin anjuman dil ki hai
sari raunaq tumhi se ye mahfil ki hai
shama-e-mahfil ho tum raushni tum se hai
faisla hai yahi baat hai ye aTal
husn walon mein tera nahin hai badal
git ka husn ho tum ho jaan-e-ghazal
sha'iron ki hasin sha'iri tum se hai
- Book : Kulliyat-e-Purnam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.