qatil ko hai zom-e-chaara-gari ab dard-e-nihan ki KHair nahin
qatil ko hai zom-e-chaara-gari ab dard-e-nihan ki KHair nahin
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
qātil ko hai zo'm-e-chāra-garī ab dard-e-nihāñ kī ḳhair nahīñ
vo mujh pe karam farmāne lage shāyad mirī jaañ kī ḳhair nahīñ
utrā vo kHumār-e-bāda-e-ġham rindoñ ko huā idrāk-e-sitam
khulne ko hai mai-ḳhāne kā bharam ab pīr-e-muġhāñ kī ḳhair nahīñ
ab tak to karam kī nazroñ ne har fitna-e-daurāñ rok liyā
ab dosh pe zulfeñ barham haiñ ab nazm-e-jahāñ kī ḳhair nahīñ
sochā hai 'shakīl' un ke dil ko maiñ fat.h karūñgā sajdoñ se
yā merī jabīñ kī ḳhair nahīñ yā kū-e-butāñ kī ḳhair nahīñ
qatil ko hai zo'm-e-chaara-gari ab dard-e-nihan ki KHair nahin
wo mujh pe karam farmane lage shayad meri jaan ki KHair nahin
utra wo kHumar-e-baada-e-gham rindon ko hua idrak-e-sitam
khulne ko hai mai-KHane ka bharam ab pir-e-mughan ki KHair nahin
ab tak to karam ki nazron ne har fitna-e-dauran rok liya
ab dosh pe zulfen barham hain ab nazm-e-jahan ki KHair nahin
socha hai 'shakil' un ke dil ko main fath karunga sajdon se
ya meri jabin ki KHair nahin ya ku-e-butan ki KHair nahin
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 288)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.