naqsh ban-ban ke nigahon mein samane wale
naqsh ban-ban ke nigāhoñ meñ samāne vaale
yaad aate haiñ bahut ham ko nibhāne vaale
saañs kyā hai terī aamad kā yaqīñ hai mujh ko
kaun kahtā hai nahīñ aate haiñ jaane vaale
lāj-e-ulfat ke liye rasm-e-taġhāful hī sahī
kahīñ rusvā na kareñ ham ko zamāne vaale
tum ko nisbat kā bharam rakhnā paḌegā ik din
aa bhī jā o merī taqdīr banāne vaale
aisī pilvā de ke har lamha mujhe hosh rahe
yuuñ to aa.e haiñ bahut hosh uḌāne vaale
zindagī paa.ī hai sāheb ne terī āñkhoñ se
ye mere piir haiñ āñkhoñ se pilāne vaale
naqsh ban-ban ke nigahon mein samane wale
yaad aate hain bahut hum ko nibhane wale
sans kya hai teri aamad ka yaqin hai mujh ko
kaun kahta hai nahin aate hain jaane wale
laj-e-ulfat ke liye rasm-e-taghaful hi sahi
kahin ruswa na karen hum ko zamane wale
tum ko nisbat ka bharam rakhna paDega ek din
aa bhi ja o meri taqdir banane wale
aisi pilwa de ke har lamha mujhe hosh rahe
yun to aae hain bahut hosh uDane wale
zindagi pai hai saheb ne teri aankhon se
ye mere pir hain aankhon se pilane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.