jazb hua hai but-kada sahar-e-tajalliyat mein
jazb huā hai but-kada sahar-e-tajalliyāt meñ
ka.abe meñ somnāt hai ka.aba hai somnāt meñ
paikar-e-kā.ināt meñ jab hai vo paikar-e-sukūñ
mahshar-e-iztirāb kyuuñ sīna-e-kā.ināt meñ
hashr-e-taġhayyurāt hai us ke liye sarāb-e-mahz
jis ko nasīb hai sabāt hashr-e-taġhayyurāt meñ
vahm ko chhoḌ do agar fahm se kaam lo agar
gañg meñ bhī furāt hai gañg bhī hai furāt meñ
hastī-e-kam-sabāt bhī āḳhīr-kār kuchh to hai
maan liyā ki kuchh nahīñ hastī-e-kam-sabāt meñ
tuuhī zamīr-e-kā.ināt terī hī zaat asl zaat
ain-e-najāt ho ke tū kyuuñ hai ġham-e-najāt meñ
kaash ho tah-nashīñ kabhī 'qais' dil-e-pur-iztirāb
bahtā hī jā rahā hai ye bahr-e-takHayyulāt meñ
jazb hua hai but-kada sahar-e-tajalliyat mein
kabe mein somnat hai kaba hai somnat mein
paikar-e-kainat mein jab hai wo paikar-e-sukun
mahshar-e-iztirab kyun sina-e-kainat mein
hashr-e-taghayyuraat hai us ke liye sarab-e-mahz
jis ko nasib hai sabaat hashr-e-taghayyuraat mein
wahm ko chhoD do agar fahm se kaam lo agar
gang mein bhi furaat hai gang bhi hai furaat mein
hasti-e-kam-sabaat bhi aaKHir-kar kuchh to hai
man liya ki kuchh nahin hasti-e-kam-sabaat mein
tuhi zamir-e-kainat teri hi zat asl zat
ain-e-najat ho ke tu kyun hai gham-e-najat mein
kash ho tah-nashin kabhi 'qais' dil-e-pur-iztirab
bahta hi ja raha hai ye bahr-e-takHayyulat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.