is shan se wo husn-e-sarapa nazar aaya
is shaan se vo husn-e-sarāpā nazar aayā
saaya bhī mujhe nuur kā putlā nazar aayā
juz maiñ bhī mujhe kal kā tamāshā nazar aayā
qatra liye āġhosh meñ dariyā nazar aayā
gulshan meñ bhī terī hī tajallī nazar aa.ī
sahrā meñ bhī terā hī tamāshā nazar aayā
kyā kyā nazar aayā hai ye na pūchho mire dil se
āñkheñ nahīñ kah saktī haiñ kyā kyā nazar aayā
aafat thī qiyāmat thī tirī shoḳh-nigāhī
jazbāt kā 'ālam tah-o-bālā nazar aayā
har vahm ba-juz asal na thā be-ḳhabarī meñ
jab raaz khulā asl bhī dhokā nazar aayā
ek qatra-e-nā-chīz thā jo ḳhūn-e-jigar meñ
āñkhoñ se umañDtā huā dariyā nazar aayā
har jalve meñ dekhā tire jalve kā hī partav
har husn tire husn kā charba nazar aayā
jo kuchh nazar aayā nazar aayā hī vo samjho
maiñ kah nahīñ saktā ki mujhe kyā nazar aayā
mehr-o-mah-o-anjum to haiñ mehr-o-mah-o-anjum
zarra bhī mujhe nuur kī duniyā nazar aayā
allāh re us bazm meñ hairat kā ye 'ālam
parde ke na hone pe bhī pardā nazar aayā
duniyā ke nazāre tere jalve pe tasadduq
sab kuchh nazar aayā mujhe tū kyā nazar aayā
vo husn-e-fusūñ kār-e-’ajab sho.abda-gar hai
har ruup meñ ik ruup nirālā nazar aayā
sau ḳhaar mere dīda-e-pur-shauq meñ khaTke
jab jā ke kahīñ ik gul-e-rā'anā nazar aayā
ai 'qais' batā de mujhe kyā un ko batā.ūñ
jo pūchhte haiñ mujh se tujhe kyā nazar aayā
is shan se wo husn-e-sarapa nazar aaya
saya bhi mujhe nur ka putla nazar aaya
juz main bhi mujhe kal ka tamasha nazar aaya
qatra liye aaghosh mein dariya nazar aaya
gulshan mein bhi teri hi tajalli nazar aai
sahra mein bhi tera hi tamasha nazar aaya
kya kya nazar aaya hai ye na puchho mere dil se
aankhen nahin kah sakti hain kya kya nazar aaya
aafat thi qiyamat thi teri shoKH-nigahi
jazbaat ka 'alam tah-o-baala nazar aaya
har wahm ba-juz asal na tha be-KHabari mein
jab raaz khula asl bhi dhoka nazar aaya
ek qatra-e-na-chiz tha jo KHun-e-jigar mein
aankhon se umanDta hua dariya nazar aaya
har jalwe mein dekha tere jalwe ka hi partaw
har husn tere husn ka charba nazar aaya
jo kuchh nazar aaya nazar aaya hi wo samjho
main kah nahin sakta ki mujhe kya nazar aaya
mehr-o-mah-o-anjum to hain mehr-o-mah-o-anjum
zarra bhi mujhe nur ki duniya nazar aaya
allah re us bazm mein hairat ka ye 'alam
parde ke na hone pe bhi parda nazar aaya
duniya ke nazare tere jalwe pe tasadduq
sab kuchh nazar aaya mujhe tu kya nazar aaya
wo husn-e-fusun kar-e-’ajab shoabda-gar hai
har rup mein ek rup nirala nazar aaya
sau KHar mere dida-e-pur-shauq mein khaTke
jab ja ke kahin ek gul-e-ra'ana nazar aaya
ai 'qais' bata de mujhe kya un ko bataun
jo puchhte hain mujh se tujhe kya nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.