qais ruKHsat hua duniya se to farhad aaya
qais ruḳhsat huā duniyā se to farhād aayā
ek nāshād gayā dūsrā nāshād aayā
yaad apnā mujhe phir ḳhāna-e-barbād aayā
kyuuñ qafas le ke mire baaġh meñ sayyād aayā
phir vahī vā'da-farāmosh tujhe yaad aayā
phir us kī galī kā dil-e-nāshād aayā
yuuñ zabāñ par mire kab shikva-e-bedād aayā
jab kiye zulm butoñ ne to ḳhudā yaad aayā
be-vafā us pe vafādāroñ kā jaanī dushman
haaye aayā bhī to kis pe dil-e-nāshād aayā
terī hī yaad se ābād rahā ḳhāna-e-dil
baiThte uThte hamesha mujhe tū yaad aayā
merī aahoñ ne uḌā Daale qafas ke TukḌe
kis liye ab mire par kholne sayyād aayā
qatl kar ke mujhe hasrat se vo ro kar bole
haaye kis vaqt tirā 'ahd-e-vafā yaad aayā
ā.īna-ḳhāna mire dil kā pasand us ko huā
ban ke us shīsh-mahal meñ vo parī-zād aayā
yaad meñ terī muravvat hai ki aa jaatī hai
be-vafā tū bhī kabhī karne ko dil shaad aayā
ganj qārūñ ko jo allāh ne baḳhshā ‘mohsin’
phir na us vaqt ke bande ko ḳhudā yaad aayā
qais ruKHsat hua duniya se to farhad aaya
ek nashad gaya dusra nashad aaya
yaad apna mujhe phir KHana-e-barbaad aaya
kyun qafas le ke mere bagh mein sayyaad aaya
phir wahi wa'da-faramosh tujhe yaad aaya
phir us ki gali ka dil-e-nashad aaya
yun zaban par mere kab shikwa-e-bedad aaya
jab kiye zulm buton ne to KHuda yaad aaya
be-wafa us pe wafadaron ka jaani dushman
haye aaya bhi to kis pe dil-e-nashad aaya
teri hi yaad se aabaad raha KHana-e-dil
baiThte uThte hamesha mujhe tu yaad aaya
meri aahon ne uDa Dale qafas ke TukDe
kis liye ab mere par kholne sayyaad aaya
qatl kar ke mujhe hasrat se wo ro kar bole
haye kis waqt tera 'ahd-e-wafa yaad aaya
aaina-KHana mere dil ka pasand us ko hua
ban ke us shish-mahal mein wo pari-zad aaya
yaad mein teri murawwat hai ki aa jati hai
be-wafa tu bhi kabhi karne ko dil shad aaya
ganj qarun ko jo allah ne baKHsha ‘mohsin’
phir na us waqt ke bande ko KHuda yaad aaya
- Book : Kulliyat-e-Mohsin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.