yahi muKHtasar ishq ki dastan hai
yahī muḳhtasar 'ishq kī dāstāñ hai
jo hai baat ham meñ vo tum meñ kahāñ hai
sar-e-husn chaukhaT pe merī jhukā hai
ye zinda mere 'ishq kā mo’jiza hai
merā 'ishq gar kār-farmā na hotā
tere husn kā 'aam charchā na hotā
abhī tum ne duniyā meñ dekhā hī kyā hai
mere 'ishq ko tum ne samjhā hī kyā hai
milī 'ishq ko is tarh sarfarāzī
ki dil haar kar jiit lī dil kī baazī
sahārā agar 'ishq-e-yūsuf na detā
na jaane zuleḳhā kā kyā haal hotā
mere dard meñ dard-e-duniyā nihāñ hai
jo hai baat ham meñ vo tum meñ kahāñ hai
kahīñ qalb-e-lailā meñ majnūñ basā hai
kahīñ 'ishq-e-shīrīñ ko farhād kā hai
kahīñ nām-e-vāmiq pe 'azrā miTī hai
kahīñ dām-e-punnuñ meñ sassī phañsī hai
kahīñ 'ishq suunī ko mahivāl kā hai
kahīñ hiir rāñjhā pe dil se fidā hai
javāñ thā merā 'ishq ab bhī javāñ hai
jo hai baat ham meñ vo tum meñ kahāñ hai
merā 'ishq ġhāfil ko farzāna kar de
terā husn 'āqil ko dīvāna kar de
ye maanā ki tū ḳhūb-rū hai javāñ hai
magar e'tibār-e-javānī kahāñ hai
javānī ko ek roz khonā paḌegā
tumheñ ḳhūn-e-māzī pe ronā paḌegā
zamāna bhī 'qaisar' merā ham-zabāñ hai
jo hai baat ham meñ vo tum meñ kahāñ hai
yahi muKHtasar 'ishq ki dastan hai
jo hai baat hum mein wo tum mein kahan hai
sar-e-husn chaukhaT pe meri jhuka hai
ye zinda mere 'ishq ka mo’jiza hai
mera 'ishq gar kar-farma na hota
tere husn ka 'am charcha na hota
abhi tum ne duniya mein dekha hi kya hai
mere 'ishq ko tum ne samjha hi kya hai
mili 'ishq ko is tarh sarfaraazi
ki dil haar kar jit li dil ki bazi
sahaara agar 'ishq-e-yusuf na deta
na jaane zuleKHa ka kya haal hota
mere dard mein dard-e-duniya nihan hai
jo hai baat hum mein wo tum mein kahan hai
kahin qalb-e-laila mein majnun basa hai
kahin 'ishq-e-shirin ko farhad ka hai
kahin nam-e-wamiq pe 'azra miTi hai
kahin dam-e-punnun mein sassi phansi hai
kahin 'ishq suni ko mahiwal ka hai
kahin hir ranjha pe dil se fida hai
jawan tha mera 'ishq ab bhi jawan hai
jo hai baat hum mein wo tum mein kahan hai
mera 'ishq ghafil ko farzana kar de
tera husn 'aqil ko diwana kar de
ye mana ki tu KHub-ru hai jawan hai
magar e'tibar-e-jawani kahan hai
jawani ko ek roz khona paDega
tumhein KHun-e-mazi pe rona paDega
zamana bhi 'qaisar' mera ham-zaban hai
jo hai baat hum mein wo tum mein kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.