ai meri jaan-e-tamanna baDi har jai hai tu
ai merī jān-e-tamannā baḌī har jaa.ī hai tū
ye haqīqat hai ki duniyā kī tamannā hai tū
yuuñ to kahne ko merī jaan hai dil-dār hai tū
ye haqīqat hai ki matlab kī parastār hai tū
dil merā le ke ye kiyā ai sitam ījād kiyā
mañ ne chāhā tujhe tū ne mujhe barbād kiyā
zaḳhm par zaḳhm diye dard se dil chuur kiyā
ġham-e-ulfat se mere siine ko mā'mūr kiyā
tujh se ummīd-e-vafā bhuul hai aur kuchh bhī nahīñ
ya'anī tū kāġhzī ik phuul hai aur kuchh bhī nahīñ
mujh se āñkheñ to milā kis liye sharmā.ī hai tū
ai merī jān-e-tamannā baḌī harjā.ī hai tū
sochtā thā terī fitrat meñ vafādārī hai
kyā ḳhabar thī ki mohabbat terī bāzārī hai
tū ne ai malika-e-rusvā.ī baḌā kaam kiyā
ḳhud bhī badnām huī mujh ko badnām kiyā
mujh ko apnāyā to phir mujh se ’adāvat kaisī
pyaar ke parde meñ paidā huī nafrat kaisī
kis liye merī mohabbat se yuuñ ghabrā.ī hai tū
ai merī jān-e-tamannā baḌī harjā.ī hai tū
tū sitam-gar nahīñ qātil nahīñ jallād nahīñ
kaun sā naam hai terā jo mujhe yaad nahīñ
terā ġham terī qasam jaan se bhī pyārā hai
terī ulfat ne ai harjā.ī mujhe maarā hai
tū ne kyā kyā na lagā.e haiñ vafā par ilzām
bāni-e-jaur-o-jafā aisī mohabbat ko salām
jaane kyā soch ke āmāda-e-rusvā.ī hai tū
ai merī jān-e-tamannā baḌī harjā.ī hai tū
ai meri jaan-e-tamanna baDi har jai hai tu
ye haqiqat hai ki duniya ki tamanna hai tu
yun to kahne ko meri jaan hai dil-dar hai tu
ye haqiqat hai ki matlab ki parastar hai tu
dil mera le ke ye kiya ai sitam ijad kiya
man ne chaha tujhe tu ne mujhe barbaad kiya
zaKHm par zaKHm diye dard se dil chur kiya
gham-e-ulfat se mere sine ko ma'mur kiya
tujh se ummid-e-wafa bhul hai aur kuchh bhi nahin
ya'ani tu kaghzi ek phul hai aur kuchh bhi nahin
mujh se aankhen to mila kis liye sharmai hai tu
ai meri jaan-e-tamanna baDi harjai hai tu
sochta tha teri fitrat mein wafadari hai
kya KHabar thi ki mohabbat teri bazari hai
tu ne ai malika-e-ruswai baDa kaam kiya
KHud bhi badnam hui mujh ko badnam kiya
mujh ko apnaya to phir mujh se ’adawat kaisi
pyar ke parde mein paida hui nafrat kaisi
kis liye meri mohabbat se yun ghabrai hai tu
ai meri jaan-e-tamanna baDi harjai hai tu
tu sitam-gar nahin qatil nahin jallad nahin
kaun sa nam hai tera jo mujhe yaad nahin
tera gham teri qasam jaan se bhi pyara hai
teri ulfat ne ai harjai mujhe mara hai
tu ne kya kya na lagae hain wafa par ilzam
bani-e-jaur-o-jafa aisi mohabbat ko salam
jaane kya soch ke aamada-e-ruswai hai tu
ai meri jaan-e-tamanna baDi harjai hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.