suno ai mominon ramzan azmat ka mahina hai
suno ai mominoñ ramzān 'azmat kā mahīna hai
yaqīnan ḳhair-o-barkat aur rahmat kā mahīna hai
rasūlullāh par qur.ān utrā is mahīne meñ
nuzūl-e-fazl-e-ḳhāliq kā itā'at kā mahīna hai
zaqāt-o-roza ke arkān hote haiñ adā is meñ
saḳhāvat 'aam hotī hai saḳhāvat kā mahīna hai
hadīs-e-rahmatul-lil-'ālamīñ se saaf zāhir hai
yatīmoñ be-navāoñ par 'ināyat kā mahīna hai
munavvar nūr-e-īmāñ se ye kar detā hai sīnoñ ko
kHudā-e-pāk-o-bartar kī 'ibādat kā mahīna hai
'ibādat meñ karo kasrat savāboñ meñ bhī kasrat hai
karo yād-e-ḳhudā har dam riyāzat kā mahīna hai
suno ai mominon ramzan 'azmat ka mahina hai
yaqinan KHair-o-barkat aur rahmat ka mahina hai
rasulullah par quran utra is mahine mein
nuzul-e-fazl-e-KHaliq ka ita'at ka mahina hai
zaqat-o-roza ke arkan hote hain ada is mein
saKHawat 'am hoti hai saKHawat ka mahina hai
hadis-e-rahmatul-lil-'alamin se saf zahir hai
yatimon be-nawaon par 'inayat ka mahina hai
munawwar nur-e-iman se ye kar deta hai sinon ko
kHuda-e-pak-o-bartar ki 'ibaadat ka mahina hai
'ibaadat mein karo kasrat sawabon mein bhi kasrat hai
karo yaad-e-KHuda har dam riyazat ka mahina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.