jaan-e-bahaar mujhe tujhse pyar hai
jān-e-bahār mujhe tujh se pyaar hai
terī ḳhātir Thukrā kar baiThā huuñ maiñ sansār
pyaar kā va'ada karne vaale bhuul na jaana
tujh ko qasam hai rāh-e-vafā meñ saath nibhānā
yaad ke jhoñke pichhlī pahar taḌpā dete haiñ
āg-sī ek siine meñ mere bhaḌkā dete haiñ
sach hai terī yaad meñ ab tak jiitā huuñ maiñ
ik muddat se ḳhūn-e-tamannā piitā huuñ mañ
koī nahīñ hamdard bharī duniyā meñ merā
ik muddat se basā hai dil meñ aas kā Derā
aa jā zālim aa jā ab hai terā intizār
jān-e-bahār mujhe tujh se hai pyaar
terī ḳhātir Thukrā kar baiThā huuñ maiñ sansār
dil meñ basne vaalā dil kā haal na jaane
hoñToñ pe ruk jaate haiñ ġham ke afsāne
kyā hogā anjām-e-vafā ye kab sochā thā
maiñ ne tujh ko apnā samajh kar hī chāhā thā
kis ko patā thā ġhairoñ sā bartāv karoge
yā'nī mere sar par har ilzām dharoge
jhūTe vā’de par dil ko bahlānā hogā
soch samajh kar bhī ye dhokā khānā hogā
phir bhī tere vā’doñ par karatā huuñ e'tibār
jān-e-bahār mujhe tujh se hai pyaar
terī ḳhātir Thukrā kar baiThā huuñ maiñ sansār
maiñ ne kahā martā huuñ tum par kyā hai irāda
nīm-tale milne kā ab to kar lo va'ada
miltā hai jab dil se dil rāhat hotī hai
duniyā meñ ek chiiz baḌī chāhat hotī hai
tum par marne vāloñ kī pahchān yahī hai
maano na maano 'qaisar' kā armān yahī hai
merī kahānī merī zabānī sun to lo ek baar
jān-e-bahār mujhe tujh se hai pyaar
terī ḳhātir Thukrā baiThā huuñ maiñ sansār
jaan-e-bahaar mujhe tujh se pyar hai
teri KHatir Thukra kar baiTha hun main sansar
pyar ka wa'ada karne wale bhul na jaana
tujh ko qasam hai rah-e-wafa mein sath nibhana
yaad ke jhonke pichhli pahar taDpa dete hain
aag-si ek sine mein mere bhaDka dete hain
sach hai teri yaad mein ab tak jita hun main
ek muddat se KHun-e-tamanna pita hun man
koi nahin hamdard bhari duniya mein mera
ek muddat se basa hai dil mein aas ka Dera
aa ja zalim aa ja ab hai tera intizar
jaan-e-bahaar mujhe tujh se hai pyar
teri KHatir Thukra kar baiTha hun main sansar
dil mein basne wala dil ka haal na jaane
honTon pe ruk jate hain gham ke afsane
kya hoga anjam-e-wafa ye kab socha tha
main ne tujh ko apna samajh kar hi chaha tha
kis ko pata tha ghairon sa bartaw karoge
ya'ni mere sar par har ilzam dharoge
jhuTe wa’de par dil ko bahlana hoga
soch samajh kar bhi ye dhoka khana hoga
phir bhi tere wa’don par karata hun e'tibar
jaan-e-bahaar mujhe tujh se hai pyar
teri KHatir Thukra kar baiTha hun main sansar
main ne kaha marta hun tum par kya hai irada
nim-tale milne ka ab to kar lo wa'ada
milta hai jab dil se dil rahat hoti hai
duniya mein ek chiz baDi chahat hoti hai
tum par marne walon ki pahchan yahi hai
mano na mano 'qaisar' ka arman yahi hai
meri kahani meri zabani sun to lo ek bar
jaan-e-bahaar mujhe tujh se hai pyar
teri KHatir Thukra baiTha hun main sansar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.