ishq ki badaulat hi dil se dil ko rahat hai
'ishq kī badaulat hī dil se dil ko rāhat hai
kyā kareñ shikāyat ham tum se jab mohabbat hai
dil-navāz ban jaao yā na.e sitam toḌo
paikar-e-jafā ban kar dāman-e-vafā chhoḌo
ġham ho yā ḳhushī jo bhī baḳhsh do 'ināyat hai
kyā kareñ shikāyat ham tum se jab mohabbat hai
zindagī kā ye tūfān kab rukā kināroñ par
ham ne itnā samjhā hai aap ke ishāroñ par
jaan apnī de denā ye hamārī fitrat hai
kyā kareñ shikāyat ham tum se jab mohabbat hai
jaan kyā hai ham tum par zindagī luTā deñge
miT ke rāh-e-ulfat meñ aap ko du'ā deñge
'ishq kā taqāza hai aur apnī 'ādat hai
kyā kareñ shikāyat ham tum se jab mohabbat hai
ek nazar meñ hotā hai dil se dil meñ ghar paidā
āh-e-be-asar meñ bhī hotā hai asar paidā
'qaisar' ratnāgīrvī husn kī parastish bhī vāqa.'ī 'ibādat hai
kyā kareñ shikāyat ham tum se jab mohabbat hai
'ishq ki badaulat hi dil se dil ko rahat hai
kya karen shikayat hum tum se jab mohabbat hai
dil-nawaz ban jao ya nae sitam toDo
paikar-e-jafa ban kar daman-e-wafa chhoDo
gham ho ya KHushi jo bhi baKHsh do 'inayat hai
kya karen shikayat hum tum se jab mohabbat hai
zindagi ka ye tufan kab ruka kinaron par
hum ne itna samjha hai aap ke ishaaron par
jaan apni de dena ye hamari fitrat hai
kya karen shikayat hum tum se jab mohabbat hai
jaan kya hai hum tum par zindagi luTa denge
miT ke rah-e-ulfat mein aap ko du'a denge
'ishq ka taqaza hai aur apni 'adat hai
kya karen shikayat hum tum se jab mohabbat hai
ek nazar mein hota hai dil se dil mein ghar paida
aah-e-be-asar mein bhi hota hai asar paida
'qaisar' ratnagirwi husn ki parastish bhi waqa'i 'ibaadat hai
kya karen shikayat hum tum se jab mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.