pi pi pi le zara jhum ke
pī pī pī le zarā jhuum ke
chhā.ī hai kaalī ghaTā nazreñ milā jaam uThā chuum ke
pī pī pī le zarā jhuum ke
aaj mausam baḌā suhānā hai
pī le piine kā ye zamāna hai
fikr-e-roz-e-hisāb rahne de
ḳhud ko ġharq-e-sharāb rahne de
kis ne dekhā hai kal kī baat na kar
ḳhud ko vaqf-e-takallufāt na kar
zindagī meñ ḳhumār paidā kar
ik nayā intishār paidā kar
chashm-e-sāqī se faizyāb hai tū
ye haqīqat hai kāmyāb hai to
merī nazroñ meñ lā-javāb hai tū
donoñ 'ālam kā intiḳhāb hai tū
pūchhtā huuñ mañ ik savāl tujhe
is ko hāsil hai yā kamāl tujhe
apne 'isyāñ kā hai ḳhayāl tujhe
baḳhsh degā vo zul-jalāl tujhe
kho gayā hai tū kahāñ dekh zarā
lauT bhī aa ghuum ke
pī pī pī le zarā jhuum ke
'aam kar daur-e-jām-o-mīnā ko
rakh na parde meñ is hasīna ko
band rakhne se rañg-o-bū jaa.e
parde parde meñ aabrū jaa.e
is ko kahte haiñ duḳhtar-e-añgūr
rahtī hai har ghaḌī nasha meñ chuur
aaj duniyā ko bol kar pī le
saarī fikroñ ko ghol kar pī le
aaj to pī ke chuur honā hai
saare 'ālam se duur honā hai
mast maḳhmūr sab zamāna hai
saarī duniyā sharāb-ḳhāna hai
hausle aur baḌhā aur baḌhā aur baḌhā
is dil-e-maġhmūm ke
pī pī pī le zarā jhuum ke
koī nasha meñ chuur daulat ke
koī nasha meñ chuur sīrat ke
koī nasha meñ chuur 'azmat ke
koī nasha meñ chuur tāqat ke
koī nasha meñ chuur ġhurbat ke
koī nasha meñ husn-o-sūrat ke
koī sāġhar uThā ke piitā hai
koī muñh se subū lagātā hai
sab amīr-o-ġharīb piite haiñ
sach ye hai ḳhush-nasīb piite haiñ
sochtā kyā hai pī jo piinā hai
chaar hī din to tujh ko jiinā hai
aaj aur kal kī baat hī kitnī
aadmī kī hayāt hī kitnī
zindagānī kā e'tibār nahīñ
maut par koī iḳhtiyār nahīñ
ġhair mumkin hai maut Tal jaa.e
jaane kis vaqt dam nikal jaa.e
chhoḌ duniyā ko kyā hai duniyā meñ
kaun kis kā huā hai duniyā meñ
log kis ko burā nahīñ kahte
apne vaale bhī chup nahīñ rahte
vaqt kā kar na gilā dekhtā jā
khel hai maqsūm ke
pī pī pī le zarā jhuum ke
pi pi pi le zara jhum ke
chhai hai kali ghaTa nazren mila jam uTha chum ke
pi pi pi le zara jhum ke
aaj mausam baDa suhana hai
pi le pine ka ye zamana hai
fikr-e-roz-e-hisab rahne de
KHud ko gharq-e-sharab rahne de
kis ne dekha hai kal ki baat na kar
KHud ko waqf-e-takallufat na kar
zindagi mein KHumar paida kar
ek naya intishaar paida kar
chashm-e-saqi se faizyab hai tu
ye haqiqat hai kaamyab hai to
meri nazron mein la-jawab hai tu
donon 'alam ka intiKHab hai tu
puchhta hun man ek sawal tujhe
is ko hasil hai ya kamal tujhe
apne 'isyan ka hai KHayal tujhe
baKHsh dega wo zul-jalal tujhe
kho gaya hai tu kahan dekh zara
lauT bhi aa ghum ke
pi pi pi le zara jhum ke
'am kar daur-e-jam-o-mina ko
rakh na parde mein is hasina ko
band rakhne se rang-o-bu jae
parde parde mein aabru jae
is ko kahte hain duKHtar-e-angur
rahti hai har ghaDi nasha mein chur
aaj duniya ko bol kar pi le
sari fikron ko ghol kar pi le
aaj to pi ke chur hona hai
sare 'alam se dur hona hai
mast maKHmur sab zamana hai
sari duniya sharab-KHana hai
hausle aur baDha aur baDha aur baDha
is dil-e-maghmum ke
pi pi pi le zara jhum ke
koi nasha mein chur daulat ke
koi nasha mein chur sirat ke
koi nasha mein chur 'azmat ke
koi nasha mein chur taqat ke
koi nasha mein chur ghurbat ke
koi nasha mein husn-o-surat ke
koi saghar uTha ke pita hai
koi munh se subu lagata hai
sab amir-o-gharib pite hain
sach ye hai KHush-nasib pite hain
sochta kya hai pi jo pina hai
chaar hi din to tujh ko jina hai
aaj aur kal ki baat hi kitni
aadmi ki hayat hi kitni
zindagani ka e'tibar nahin
maut par koi iKHtiyar nahin
ghair mumkin hai maut Tal jae
jaane kis waqt dam nikal jae
chhoD duniya ko kya hai duniya mein
kaun kis ka hua hai duniya mein
log kis ko bura nahin kahte
apne wale bhi chup nahin rahte
waqt ka kar na gila dekhta ja
khel hai maqsum ke
pi pi pi le zara jhum ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.