parde ke qarin majma’ aisa nazar aata hai
parde ke qarīñ majma’ aisā nazar aatā hai
parde meñ bhī vo jalva goyā nazar aatā hai
ab josh-e-junūñ had se baḌhtā nazar aatā hai
yā'nī ki mujhe zindāñ sahrā nazar aatā hai
ā.īna meñ kyuuñ tujh ko tujh sā nazar aatā hai
yaktā.ī meñ ab terī dhoka nazar aatā hai
ki ġhaur zarā ai dil-e-maut aa.ī hai yā qātil
ye kaun sar-e-bālīñ hañstā nazar aatā hai
mujh se nahīñ aaj us ne dushman se kiyā vā'da
ab va.ada-ḳhilāfī meñ dhokā nazar aatā hai
bāzār-e-mohabbat kī allāh re arzānī
ab jaan kā saudā bhī sastā nazar aatā hai
ye baat to dekhī hai us gulshan-e-hastī meñ
achchhā na sahī lekin achchhā nazar aatā hai
ab apnī jafāoñ par nādim hai falak shāyad
sar sū-e-zamīñ us kā jhuktā nazar aatā hai
kahte haiñ ki ham us kī taqdīr meñ kyuuñ hote
har vaqt jo bad-qismat rotā nazar aatā hai
ab maiñ unheñ kyā samjhūñ jo mujh ko burā samjheñ
kahte haiñ ki achchhoñ ko achchhā nazar aatā hai
marnā bhī judā.ī meñ bar-haq na rahā shāyad
ab to mujhe us meñ bhī dhokā nazar aatā hai
maiñ us ko samajhtā huuñ shāmat se raqīb apnā
jo apne muqaddar ko rotā nazar aatā hai
pahuñchī hai ab is had ko afsurda-dilī merī
rañg-e-chaman-e-hastī phīkā nazar aatā hai
zāhir meñ 'qamar' un se ġhairoñ kī tarah miliye
iz.hār-e-mohabbat meñ jhagḌā nazar aatā hai
parde ke qarin majma’ aisa nazar aata hai
parde mein bhi wo jalwa goya nazar aata hai
ab josh-e-junun had se baDhta nazar aata hai
ya'ni ki mujhe zindan sahra nazar aata hai
aaina mein kyun tujh ko tujh sa nazar aata hai
yaktai mein ab teri dhoka nazar aata hai
ki ghaur zara ai dil-e-maut aai hai ya qatil
ye kaun sar-e-baalin hansta nazar aata hai
mujh se nahin aaj us ne dushman se kiya wa'da
ab wada-KHilafi mein dhoka nazar aata hai
bazar-e-mohabbat ki allah re arzani
ab jaan ka sauda bhi sasta nazar aata hai
ye baat to dekhi hai us gulshan-e-hasti mein
achchha na sahi lekin achchha nazar aata hai
ab apni jafaon par nadim hai falak shayad
sar su-e-zamin us ka jhukta nazar aata hai
kahte hain ki hum us ki taqdir mein kyun hote
har waqt jo bad-qismat rota nazar aata hai
ab main unhen kya samjhun jo mujh ko bura samjhen
kahte hain ki achchhon ko achchha nazar aata hai
marna bhi judai mein bar-haq na raha shayad
ab to mujhe us mein bhi dhoka nazar aata hai
main us ko samajhta hun shamat se raqib apna
jo apne muqaddar ko rota nazar aata hai
pahunchi hai ab is had ko afsurda-dili meri
rang-e-chaman-e-hasti phika nazar aata hai
zahir mein 'qamar' un se ghairon ki tarah miliye
izhaar-e-mohabbat mein jhagDa nazar aata hai
- Book : Nairang-e-Khayaal (Eid Number) (Pg. 231)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.