kahte hain mujhse ishq ka afsana chahiye
kahte haiñ mujh se 'ishq kā afsāna chāhiye
rusvā.ī ho ga.ī tumheñ sharmānā chāhiye
ḳhuddār itnī fitrat-e-rindāna chāhiye
saaqī ye ḳhud kahe tujhe paimāna chāhiye
'āshiq baġhair husn-o-javānī fuzūl hai
jab sham.a jal rahī ho to parvāna chāhiye
āñkhoñ meñ dam rukā hai kisī ke liye zarūr
varna marīz-e-hijr ko mar jaanā chāhiye
vā'da thā un kā raat ke aane kā ai 'qamar'
ab chāñd chhup gayā unheñ aa jaanā chāhiye
kahte hain mujh se 'ishq ka afsana chahiye
ruswai ho gai tumhein sharmana chahiye
KHuddar itni fitrat-e-rindana chahiye
saqi ye KHud kahe tujhe paimana chahiye
'ashiq baghair husn-o-jawani fuzul hai
jab shama jal rahi ho to parwana chahiye
aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zarur
warna mariz-e-hijr ko mar jaana chahiye
wa'da tha un ka raat ke aane ka ai 'qamar'
ab chand chhup gaya unhen aa jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.