gate hue peDon ki KHunuk chhanw se aage nikal gae
gaate hue peḌoñ kī ḳhunuk chhāñv se aage nikal ga.e
ham dhuup meñ jalne ko tire gaañv se aage nikal ga.e
aisā bhī to mumkin hai mile be-talab ik muzhda-e-manzil
ham apnī du'āon se tamannāoñ se aage nikal ga.e
kahte haiñ ki jismoñ ko ik rūh-e-muqaddas kī du'ā hai
vo jism ki jo apne thake paañv se aage nikal ga.e
thoḌā sā bhī jin logoñ ko ’irfān-e-mazāhib thā vo bach kar
ka.aboñ se shivāloñ se kalīsāoñ se aage nikal ga.e
the ham bhī gunahgār par ik zāhid-e-makkār kī zid
bāzār meñ biktī huī salmāoñ se aage nikal ga.e
shahroñ ke makīnoñ se milī jab hameñ vahshat kī zamānat
ham sī ke garebānoñ ko sahrāoñ se aage nikal ga.e
bantī rahī ik duniyā 'qatīl' apnī ḳharīdār magar ham
yūsuf na bane aur zuleḳhāoñ se aage nikal ga.e
gate hue peDon ki KHunuk chhanw se aage nikal gae
hum dhup mein jalne ko tere ganw se aage nikal gae
aisa bhi to mumkin hai mile be-talab ek muzhda-e-manzil
hum apni du'aon se tamannaon se aage nikal gae
kahte hain ki jismon ko ek ruh-e-muqaddas ki du'a hai
wo jism ki jo apne thake panw se aage nikal gae
thoDa sa bhi jin logon ko ’irfan-e-mazahib tha wo bach kar
kabon se shiwalon se kalisaon se aage nikal gae
the hum bhi gunahgar par ek zahid-e-makkar ki zid
bazar mein bikti hui salmaon se aage nikal gae
shahron ke makinon se mili jab hamein wahshat ki zamanat
hum si ke garebanon ko sahraon se aage nikal gae
banti rahi ek duniya 'qatil' apni KHaridar magar hum
yusuf na bane aur zuleKHaon se aage nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.