Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nigah-e-yar bad-masti mein bhi hushiyar kaisi hai

Qatil Ajmeri

nigah-e-yar bad-masti mein bhi hushiyar kaisi hai

Qatil Ajmeri

MORE BYQatil Ajmeri

    Interesting Fact

    راگنی جنگلا بھیرویں۔ وقت ۴؍ بجے صبح، تال کھردا

    nigāh-e-yār bad-mastī meñ bhī hushiyār kaisī hai

    merā dil chhīn lene ke liye tayyār kaisī hai

    adā se pher kar ḳhanjar gale par yuuñ lage kahne

    shahīd-e-nāz batlā de ki is meñ dhaar kaisī hai

    jigar meñ chhā ga.ī pahlū meñ pahuñchī dil meñ utri

    ġhazab chulbulī chanchal nigāh-e-yār kaisī hai

    abhī niklā hai dam Thahro kisī se mil to lene do

    abhī se le ke chalne ye mārā-mār kaisī hai

    hamīñ ko zab.h karte haiñ hamīñ se pūchhte haiñ yuuñ

    zarā sāheb batā denā mirī talvār kaisī hai

    qazā bhī sadqe hotī hai nigāh-e-tez qātil ke

    shahādat sar kaTāne ke liye tayyār kaisī hai

    nigah-e-yar bad-masti mein bhi hushiyar kaisi hai

    mera dil chhin lene ke liye tayyar kaisi hai

    ada se pher kar KHanjar gale par yun lage kahne

    shahid-e-naz batla de ki is mein dhaar kaisi hai

    jigar mein chha gai pahlu mein pahunchi dil mein ja utri

    ghazab ki chulbuli chanchal nigah-e-yar kaisi hai

    abhi nikla hai dam Thahro kisi se mil to lene do

    abhi se le ke chalne ki ye mara-mar kaisi hai

    hamin ko zabh karte hain hamin se puchhte hain yun

    zara saheb bata dena meri talwar kaisi hai

    qaza bhi sadqe hoti hai nigah-e-tez qatil ke

    shahadat sar kaTane ke liye tayyar kaisi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now