KHudi ka tarik fana ka talib jahan mein tanha tumhin ko dekha
KHudi ka tarik fana ka talib jahan mein tanha tumhin ko dekha
Qazi Umrao Ali Jamali
MORE BYQazi Umrao Ali Jamali
ḳhudī kā tārik fanā kā tālib jahāñ meñ tanhā tumhīñ ko dekhā
sabhī haiñ hirs-o-havā ke bande ḳhudā kā bandā tumhīñ ko dekhā
tamām ma.asūm Dar ke maare kaheñge mahshar meñ nafsī-nafsī
vahāñ bhī bahar-e-rifāh-e-ummat shafī’-e-a’alā tumhīñ ko dekhā
kahīñ hai majnūñ fida-e-lailā kahīñ hai vāmiq nisār-e-'azrā
bashar ko pyārā bashar hai lekin ḳhudā kā pyārā tumhīñ ko dekhā
hai āfrīnash meñ kaun aisā ki misl-o-mānind ho na jis kā
nazīr jis kā nahīñ hai koī jahāñ meñ aisā tumhīñ ko dekhā
agar ho dāmān-e-abr haa.il to nūr-e-ḳhurshīd bhī ho zaa.il
zamīñ ke parde meñ muñh chhupā kar pur-āshkārā tumhīñ ko dekhā
sab apne matlab ke āshnā haiñ jahāñ meñ koī nahīñ kisī kā
magar zamāna meñ be-kasī ke rafīq apnā tumhīñ ko dekhā
jahāñ meñ 'ushshāq aur bhī haiñ magar 'jamālī' na koī tum sā
hamesha zār-o-shikasta-kHātir nasīb-e-ā’dā tumhīñ ko dekhā
KHudi ka tarik fana ka talib jahan mein tanha tumhin ko dekha
sabhi hain hirs-o-hawa ke bande KHuda ka banda tumhin ko dekha
tamam masum Dar ke mare kahenge mahshar mein nafsi-nafsi
wahan bhi bahar-e-rifah-e-ummat shafi’-e-a’ala tumhin ko dekha
kahin hai majnun fida-e-laila kahin hai wamiq nisar-e-'azra
bashar ko pyara bashar hai lekin KHuda ka pyara tumhin ko dekha
hai aafrinash mein kaun aisa ki misl-o-manind ho na jis ka
nazir jis ka nahin hai koi jahan mein aisa tumhin ko dekha
agar ho daman-e-abr hail to nur-e-KHurshid bhi ho zail
zamin ke parde mein munh chhupa kar pur-ashkara tumhin ko dekha
sab apne matlab ke aashna hain jahan mein koi nahin kisi ka
magar zamana mein be-kasi ke rafiq apna tumhin ko dekha
jahan mein 'ushshaq aur bhi hain magar 'jamali' na koi tum sa
hamesha zar-o-shikasta-kHatir nasib-e-a’da tumhin ko dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.