is chaman mein subh jo itraega
is chaman meñ sub.h jo itrā.egā
shaam ko gul kī tarah kumlā-e-gā
kar le saudā naqd phir pachhtā.egā
jo yahāñ degā vahī vaañ pā.egā
naqd-e-īmāñ gāñTh se khul jā.egā
niiñd ġhaflat kī agar so jā.egā
ḳhaak kā putlā hai insān-e-za’īf
āḳhir ik din ḳhaak meñ mil jā.egā
fikr-e-fardā aaj karnī chāhiye
fātiha ko gor par kaun aa.egā
dosto duniyā nahīñ jā-e-qayām
jo yahāñ aayā hai ik din jā.egā
rañj pahuñchāne se kab miltā hai ganj
tuḳhm jo Daalā vahī phal khā.egā
sham-e’-mehr-o-mah bhī gul ho jā.egī
kuchh ġharīboñ kā diyā kaam aa.egā
zinda-e-jāved hai vo aadmī
peshtar marne se jo mar jā.egā
is chaman mein subh jo itraega
sham ko gul ki tarah kumla-e-ga
kar le sauda naqd phir pachhtaega
jo yahan dega wahi wan paega
naqd-e-iman ganTh se khul jaega
nind ghaflat ki agar so jaega
KHak ka putla hai insan-e-za’if
aaKHir ek din KHak mein mil jaega
fikr-e-farda aaj karni chahiye
fatiha ko gor par kaun aaega
dosto duniya nahin ja-e-qayam
jo yahan aaya hai ek din jaega
ranj pahunchane se kab milta hai ganj
tuKHm jo Dala wahi phal khaega
sham-e’-mehr-o-mah bhi gul ho jaegi
kuchh gharibon ka diya kaam aaega
zinda-e-jawed hai wo aadmi
peshtar marne se jo mar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.