hasinon mein sabhi kuchh hai jafa bhi hai wafa bhi hai
hasinon mein sabhi kuchh hai jafa bhi hai wafa bhi hai
Qazi Umrao Ali Jamali
MORE BYQazi Umrao Ali Jamali
hasīnoñ meñ sabhī kuchh hai jafā bhī hai vafā bhī hai
nigāh-e-nāzāñ kī dard bhī hai aur davā bhī hai
sunī sab se shikāyat bārhā nā-āshnā.ī kī
tū ai nā-āshnā āḳhir kisī kā āshnā bhī hai
vuhūsh-o-tair ko bhī hai ḳhudā hī rizq pahuñchātā
takeñ dar ġhair kā kyuuñ ham vahī apnā ḳhudā bhī hai
kaheñ kyuuñ dūsroñ se hājateñ aur mushkileñ apnī
vahī hājat-ravā apnā vahī mushkil-kushā bhī hai
hameñ jannat kī kyā parvā hameñ dozaḳh kā kyā khaTkā
shafī’-ul-muznabīñ jaisā hamārā peshvā bhī hai
bashar kā zikr kyā husn-e-’āfrīñ hai shefta jis par
hasīnoñ meñ hasīñ ab tak koī aisā huā bhī hai
usī ke intizār-e-dīd meñ hairān hai nargis
usī ke 'ishq meñ ḳhūnīñ-jigar barg-e-hinā bhī hai
mile miTTī mirī ai kaash ḳhāk-e-pāk-e-taiba meñ
yahī dil kī tamannā hai yahī lab par du'ā bhī hai
nahīñ rahne kī jā duniyā 'jamālī' fikr-e-’uqbā kar
hamesha koī duniyā meñ are nādāñ rahā bhī hai
hasinon mein sabhi kuchh hai jafa bhi hai wafa bhi hai
nigah-e-nazan ki dard bhi hai aur dawa bhi hai
suni sab se shikayat barha na-ashnai ki
tu ai na-ashna aaKHir kisi ka aashna bhi hai
wuhush-o-tair ko bhi hai KHuda hi rizq pahunchata
taken dar ghair ka kyun hum wahi apna KHuda bhi hai
kahen kyun dusron se hajaten aur mushkilen apni
wahi hajat-rawa apna wahi mushkil-kusha bhi hai
hamein jannat ki kya parwa hamein dozaKH ka kya khaTka
shafi’-ul-muznabin jaisa hamara peshwa bhi hai
bashar ka zikr kya husn-e-’afrin hai shefta jis par
hasinon mein hasin ab tak koi aisa hua bhi hai
usi ke intizar-e-did mein hairan hai nargis
usi ke 'ishq mein KHunin-jigar barg-e-hina bhi hai
mile miTTi meri ai kash KHak-e-pak-e-taiba mein
yahi dil ki tamanna hai yahi lab par du'a bhi hai
nahin rahne ki ja duniya 'jamali' fikr-e-’uqba kar
hamesha koi duniya mein are nadan raha bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.