piya tujh aashna hun main tu be-gana na kar mujhko
piyā tujh āshnā huuñ maiñ tū be-gāna na kar mujh ko
Tale na ik ghaḌī tujh yaad bin tū nā-bisar mujh ko
jahāñ tū vaañ huuñ maiñ pyāre mujhe kyā kaam hai kis se
na but-ḳhāne kī parvāh hai na masjid kī ḳhabar mujh ko
bahisht-o-dozakH-o-ā'rāf kuchh nahīñ hai mere aage
jidhar tū vaañ merī jannat jidhar maiñ vaañ saqar mujh ko
tirī ulfat kā maiñ sarmast ho matvālī huuñ pyāre
nahīñ hotā ba-juz us ke kisī mai kā asar mujh ko
nabī sadqe ‘qutb’ shah ko nahīñ ādhār kī hājat
ki donoñ jag mane ādhār hai ḳhairul-bashar mujh ko
piya tujh aashna hun main tu be-gana na kar mujh ko
Tale na ek ghaDi tujh yaad bin tu na-bisar mujh ko
jahan tu wan hun main pyare mujhe kya kaam hai kis se
na but-KHane ki parwah hai na masjid ki KHabar mujh ko
bahisht-o-dozakH-o-a'raf kuchh nahin hai mere aage
jidhar tu wan meri jannat jidhar main wan saqar mujh ko
teri ulfat ka main sarmast ho matwali hun pyare
nahin hota ba-juz us ke kisi mai ka asar mujh ko
nabi sadqe ‘qutb’ shah ko nahin aadhaar ki hajat
ki donon jag mane aadhaar hai KHairul-bashar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.