sunte hain ki mil jati hai har chiz dua se
Interesting Fact
غزل کا مطلع صابری برادران نے اپنی قوالی میں استعمال کیا ہے۔
sunte haiñ ki mil jaatī hai har chiiz du'ā se
ik roz tumheñ maañg ke dekheñge ḳhudā se
jab kuchh na milā haath duāoñ ko uThā kar
phir haath uThāne hī paḌe ham ko du'ā se
duniyā bhī milī hai ġham-e-duniyā bhī milā hai
vo kyuuñ nahīñ miltā jise māñgā thā ḳhudā se
tum sāmne baiThe ho to hai kaif kī bārish
vo din bhī the jab aag barastī thī ghaTā se
ai dil tū unheñ dekh ke kuchh aise taḌapnā
aa jaa.e hañsī un ko jo baiThe haiñ ḳhafā se
ā.īne meñ vo apnī adā dekh rahe haiñ
mar jaa.e ki jī jaa.e koī un kī balā se
sunte hain ki mil jati hai har chiz du'a se
ek roz tumhein mang ke dekhenge KHuda se
jab kuchh na mila hath duaon ko uTha kar
phir hath uThane hi paDe hum ko du'a se
duniya bhi mili hai gham-e-duniya bhi mila hai
wo kyun nahin milta jise manga tha KHuda se
tum samne baiThe ho to hai kaif ki barish
wo din bhi the jab aag barasti thi ghaTa se
ai dil tu unhen dekh ke kuchh aise taDapna
aa jae hansi un ko jo baiThe hain KHafa se
aaine mein wo apni ada dekh rahe hain
mar jae ki ji jae koi un ki bala se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.